Friday, March 28, 2014

Shama....RIP!

When I met her the first time she came across as a different girl. A girl with higher IQ, higher purpose in life, love for poetry and what attracted me the most was that she was a Khush Zabaan! Born and brought up in Luckhnowi tehzeeb she was a great combo of beauty and brain.

When I was done blowing up my last relationship, and was ready to reconstruct another one - I thought of her. Back then I was in the US, so I used to call her often and speak with her. Each time I used to enjoy our conversations. Each time she used to impress me with her wit and sense of humor.

And then one day she told me about her medical condition. Her kidneys were failing and she did not know how much longer she has left. I was shattered again. She again impressed me with her attitude to life and death in those circumstances.

I still used to call her to make her laugh, share a joke or some time share my new nazm. It was yahoo messenger in those days and whatsapp was years away. The last time we chatted she shared her nazm and I realized how deep she was capable of thinking.

I lost contact with her some time later......life just went into an over drive and I had no choice but to run with it. As a result I lost touch with her.......

She died today in Lucknow!

Whoever is up there, better have a good excuse!

Rest in peace Shama!!

My last conversation with her was on June 30th, 2012 when she said

"Jun 30 10:52 PM
sayed.shama:ap achche writer hai

and her last word was a smiley!!

Jun 30 11:38 PM
sayed.shama::)

ps: My mind went blank when I heard the news.....its time to cry.....I will, as soon as I finish writting her obituary!

Dekh le...kina accha writer hoon main shama....dekh tere baare main kaisa likha!

Tuesday, March 25, 2014

Kitne Mausam Beet gaye...


Kitne mausam beet gaye
Dheron Yaaden chod gaye...
Woh Mausam phir nahi lauta
Jo tum se baaten karta tha!!
Rehta tha jo Sath tumhaare
Aur tumhi pe Martaa tha..
Woh Mausam phir nahi lauta!

(C) Shahid Parvez Sayed, March 25th 2014

Wednesday, March 12, 2014

"Chudiyan"


Suniye
Mujhe Chudiyan bahut pasand hain
Waada Karen...
Mere Hathon ko Chudiyon se kabhi Khaali na Rakhenge
Mera Jwaab jo bhi tha, Ab main Bhool gayaa
Magar in Kambakht Chudiyon Ko yaad hai
Saari Guftagu Apni
Jis Dukaan pe Milti Hain ye
Swaal bas wohi karti hain ye
"Aap Ne Un Ki kahi Baat Kahin Taali to nahi?
Ke Un ke Haseen Haath Aaj Khaali to nahi?"

Ek aur Guftagu ab mujhe bhulni hogi!!

(c) Shahid Parvez Sayed, March 13th, 2014 @ 1:35am

Thursday, March 06, 2014

Ek Zara sa dil toota hai.....


Hanste Hue Jinhen Seh Na Sakoon, Aise to Sadmaat nahi
Ek Zara Sa Dil Toota Hai, Bas Aur to Koi Baat Nahi!

Yu to Manoos Chere hain bahut, Nazren hain wohi sab Khwaab liye
Par Dil ye Tumhara Naam Liye hai, Aur Is main ab Jazbaat Nahi!

Pehron Hui thin Baaten Phir bhi, Reh Gayi kehni Choti si ek Baat
Maani Jis ke Uljhe Hue Hain, aur Baat bhi Koi Khaas Nahi!

(C) Shahid Parvez Sayed, March 6th, 2014, 8:15pm

Thursday, February 13, 2014

Janam din....



Kis Trah duayen doon Tumehn?
Ke tum Jiyo Hazaron Saal
Saal ke Din hon Pachaas Hazaar?
Ke Phir Intezaar 
Kitna Taveel Ho Jayega zara socho to...
Kiyoon ke ab to
Milna Agle Janam main hi Mumkin hai
Waise 
Janam din Mubarak!!
Parda Girte hi tum Chali aanaa...

(c) Shahid Parvez Sayed, Feb 10, 2014

Wednesday, February 05, 2014

Khilone....



Shauhar, Bacche, Motor, Ghar
Ye Khilone jo tum ne Jama Kiye hain
Aurat Ki Poorani Tarkeeben hain ye
Waqt Kisi trah Guzar Dene ki
Gham e Dil Yun hi Behlaane Ki

Magar Ek Din woh bhi Aayegaa
Jab Ye Sab Be Maani Ho Jayega
Jab Umr Ka Khazana Khaali Hoga
Aur Husn Ka Mausam Dhal Jayegaa

Tab Charon Karwat Din Raat Tumehn
Phir Yaad Koi Bas Aayegaa......

(C)Shahid Parvez Sayed, February 4th, 2014 @ 12:4am

Saturday, November 02, 2013

Tumhari Yaaden....


Ye Duniya Ek Veerana Hai
Phir Bhi Chalte Jana Hai

Door Ufaq Ke Paar Tale
Chunke Tum Ko Panaa Hai

Dil Bojhal, Jism Hai Ghayal
Phir Bhi to Muskurana Hai

Khwab Thin Tum, Koi Pari Thin
Dil Ko Ab Samjhana Hai

Pehle To Tumhari Sun Leni Hai
Phir Khoob Tumhen Rulana Hai

Jaise Taise Umr Kati Hai
Ab Koi Aur Gul Khilana Hai?

Duniya Hai Ya Ek Chalawa
Kiya Aana, Kiya Jaana Hai!

Tumhari Yaaden Khatam Nahi Hotin
Kiya Qaroon Khazana Hai!

Hogi Kahin Kisi Ped Ke Neeche
Woh Qabr Hi Ab Thikana Hai

(C) Shahid PArvez Sayed


Tuesday, September 24, 2013

He said - She said



AMEER - E- QAFILA

INT. NIGHT. LIVING ROOM

They are chatting using Yahoo chat. He in US and She in a Cyber Cafe in India


He Said: Aaj main kaam se Ghar aate waqt khoob Roya hoon...
She Said: Oh Sheen.....kiyoon? kiya hua?

He: Aaj Mera College ka Dost Ehsaan Rashid apni family ke sath Restaurant aaya tha. Mujhe waiter  ke Dress  main dekh kar shock laga use. Phir us ne situation sambhal li.....mujhe apni family se introduce karwaya....baaten ki...

She: I am sorry Sheen .....Sambhalen apne aap ko...
He: Ye wohi Restaurant hai Jahan kuch Saal pehle meri Graduation ki Party hui thi.....kaise kaise khwaab dekhe the us din.....kaisis baaten ki thin....woh table aaj mera moonh chidata hai ...Main ne Faisla Kar liya ...

She: Kiya?

He: Main Wapas aa Raha hoon....Main Haar gyaa......Main wapas aa raha hoon...Mujhe Job nahi milni....koi mera Visa nahi sposnor karegaa....Interview ke bulawe aate hain...magar Work visa sposnor ke liye taiyyar nahi koi....

She: Nahi Sheen....aisa mat karen....koi na koi company to aap ka Visa sponsor karegi hi....koshish karen.....aur Aap to Ameer - e- Qafila hain....aap kasie Haar Sakte Hain? Is trah Haar Kar wapas aayenge to Biwi ke Pehlu main Neend bhi nahi aayeggi.....ye Jung to Aap ko Har Haal  main Jeetni hai Sheen.....kcuh bhi Ho jaye...Main Aap ke sath hoon...

Four  months after this conversation he found an employer named Larry Dent, a sensitive white man whose DNA did not believe in any discrimination on the basis of caste, religion, country of origin or color,  hired him and agreed to file for his work visa.

He got her to fly to him before he joined the new job. She landed in Atlanta on 14th July wearing a dress of his  favorite color - Yellow.  He joined the new job on 17th July, three days after she arrived..

ps: After picking her up from airport, he drove on I - 285 ( an outer loop that circles Atlanta city) for hours. When she asked the reason for driving on I - 285 and not going home straight  he answered that  He is paying homage to a city that gave him second chance at life.....

pps: Larry Dent, now retired lives in Gainesville, GA, Poona Restaurant still exists but at a different location, Ehsaan Raashid, EE class of 91, GA Tech, lives in Atlanta,

She lives in small town, USA and he .....he is alive some place,  India!!

Tuesday, September 03, 2013

Shab-e-Gham...

Shabe Gham Guzarta Hai Koi
Tumhen Ab Pukarta Hai Koi

Utha ke Bojh Tumhari Yaadon Ke
Yun Ehsaan Utarta Hai Koi

Rakh Tumhari Tasveer Saamne
Yu Tumhen Niharta Hai Koi

Tum Khyal thin Kisi Aashiq Ka
AbYehi Sach Maanta Hai Koi

Piyar to Un dino Bhi Karta Tha
Iqraar ab kiye Jataa Hai Koi

Tumhare Milne Ki Ummed Par
Khud Ko Sambhalta Hai Koi

Shabe Gham Guzaar Akal Aa Gayi
Apni Aaqbat Sanwarta hai Koi

Tumhen Haar Kar Zamane hue
Ab Khud Ko  bhi Haarta Hai Koi

(C0 Shahid Parvez Sayed, September 3rd 2013

Sunday, September 01, 2013

"Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?"




Jab Raston Main Sare Aam, Yu Hi Chalte hue
Koi Mahobbat Nahi karta, Na kuch Jatataa hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Kisi Saneechar Ki Subah Tumhare Bistar par
Koi Banaa Kar Nashta Nahi Laataa, Na Khilata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?
  
Jab Tumhari Aankhon par, Muskurahoton par
Koi Nazmen  Nahi kehta, Na hi Gungunata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Umr Main Ek Baras Aur Jama Ho Jaane Par
Tumhen Haseen, Aur Haseen Tar Nahi Batlata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Tumhare Jazbon ki Shiddat, Wafa aur Shoki ke
Kuch Qisse Duniya ko Nahi Sunwataa, Na Batata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Rotiyan Banate Waqt Aaye Hue Zakhmo par
Koi Afsos Nahi karta, Aur Na Lipat Jata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Udaas Dekh kar Tum ko  Sare Shaam Jab Koi
Khamoshiyan Nahi Sunta, Na Samajh Jata Haai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Tum Bazar se Laane ke liye kuch Kehti ho
Janab who to Nahi Laataa, kuch aur liye aata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Bagair Baatye Jab Koi Office Tumahre Aataa hai
Tum Use Dekh Khil Jaati ho, Who Muskata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Badi Khareedari Ko Taalne, Pasie Bachane ke Liye
Chikni Chapdi Baaten koi karta hai, Na Ithlata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

“Main Aap ke Liye Poori Duniya se Lad Sakti Hoon”
Ye Keh Hue, scohe Hue Ik zamana sa Hua jataa Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Hazaron Meel ke Fasloon, Itni Doori ke baa- wajood
Koi Tumhare Din raat, Subah Shaam Samajh Jataa hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Dasht-e-Tanhayee main Bhatakta Hua koi Shair
Wohi  Gurzri Baaten Sochta Hai, Dohrata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

(C) Shahid Parvez Sayed, August 31st, 2013 @ 2:30 am



Wednesday, August 28, 2013

Do Qabren..




Koi Din
Ajnabi Desh Main Chand Log
Kisi Weekend Ko
Tumhen Ek Khubsurat Qabrastan ki 
Thandi Zameen main
Mehakte Hue Casket main Lita Kar
Ek Qabar ke Hawale Har Denge

Main Yahin Kisi Poorane Qabrastan ki
Khamoshi ka Hissa
Ujlat aur Be Hurmati se Bana Diya Jaoonga
Yaani Marne ke Baad bhi Bum
Door, Bahut Door Dafan Honge..

Ye Batao, 
Ab Kis Ummed Pe Marna Hoga?

(C) Shahid Parvez Sayed, August 28th, 2013, 5:10 PM



Monday, August 26, 2013

Ghar...

Tum 
Woh ke Jisko Ek Ghar Ki 
Hamesha Arzoo Thi
Shahr Ki Tnahaiyon Main
Ek Chota, Apna Sa Ghar
Jahan Hukum Tumhara Chale
Jis Ke Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas EkTum Hi Ho

Main, 
Ek Shair e Sarkash, Baghi, Awara Mijaaz
Jise Duniya Ki 
Farsuda Riwayat Se Nafrat Rahi Hamesha
Main Bhala Tumhe Koi Ghar Kiyoon Kar Deta?

Mera Ye Manna Hai
Mera Ghar, Mera Mahollah, Mera Watan, Meri Jaat
Woh Ped Hain ke Jin Main
Tassub aur Nafrat Ke Phal hain Panapte 

Mujhe To Is Duniya se 
Kuch Is Trah Guzar tha Jana
Ke Mano Main tha Hi Nahi
Ke Jaise Kuch Hua Hi Nahi
Main Tumhen Ghar Kiyoon Kar Deta?

Par
Itne Baras Baad Ye Ehsaas Ab Hua
Ke Ghar To Main Ne Tum Ko
Un Dino Hi Tha diya
Woh Ghar Dekho Jis Main
 Tumhara Hukum Hai Chalta
Jiski Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas Ek Tum Hi Ho
Woh Chota, Apna Sa Ghar
Mera Dil Hai 
Aye Meri Jaane Jahan

Ho Sake to Ek Baar Is main
Basne Phir Chali Aana.....

(C) Shahid Parvez Sayed, Auguist 26th, 2013, 10:15 am



Wednesday, August 14, 2013

Sayed - Zaadi...


Aur Jab Shahr Ke Akalmandon ne
Meri Tasveer Pe Aitraaz Kiya
Chupa Di thi Tum Ne Woh Tasveer Meri
Ek Hukum Aur Aayaa Phir
Ke Ab Naam Bhi Badalna Hoga
Tum Is Baat Pe Biphar Gayin 

Kiya Zaroori Hai Ye?
Woh Naam Mujhe Pasand Hai Bahut
Main Naam Nahi Tabdeel Karoongi

Aaj Shahr Ke Akalmand Mutmain Hain
Ke Jo Kiya Accha Kiya
Sirf Mujhe Pata Hai aur Tumhen Bhi
Ke US Shhahr Main 
Ab Ek Naye Label Ke Sath
Ek Sayed - Zaadi Rehti Hai


Thursday, August 08, 2013

Chaand Ka Peecha....


Yaad hai Un Dino
Tumhari Zulf ki Trah
Bal Khaahti, Lehrati, Shaffaf Sadak Par Hum
Chaand Ka Peecha Karte The!

Sadak Ke Mudte Hi woh bhi
Kabhi Tumhari Taraf aur 
Kabhi Meri Taraf Chala aataa tha

Phir Ek Raat
Ek Teele Par Motor Rok Kar Main ne
Tum se Kaha tha 
"Woh Raha Tumhara Chaand!"

Aur Tum ne 
Apni Peshani Mere Seene Se laga kar
"Mera Chaand Yahan Hai" 
Confirm kiya tha...

Bagair Chaand Dekhe Eid Kaisi Hoti Hai?
Bas Ye Batla do...

(C) Shahid Parvez Sayed, 9-8-13 @2:30am

Saturday, July 20, 2013

Labels.....




Mukhtasar Si Judayi par
Kahin Jaate Waqt Tum
Hamesha Kitchen Ke Lawzmaat Par
Pehchan ke Liye Label Laga diya Karti thin
Shakr, Namak, Aata, Daal...
Aur Phir Ghar se Airport Tak 
Hidayeten Detin ke
 Kaun Si Cheez Kahan Rakhi hai
Aur Ye Shikyat Bhi Ke
Itna La-Parwah kiyoon Ho Gayaa Hoon main?

Suno, Aaj Suabh Se Woh Dabba Nahi Mil Raha hai
Jis Par Tum ne Kahin Jaate Waqt 
Ye Label Lagaya tha
Zindagi!

Is Martaba to Ye Judaii Khatam Na Hone Wali
Kuch Yaad Hai
 Kahan Rakha tha Tum ne Use?
Aaj Subah se...

(C) Shahid Parvez Sayed, 20-7-2013



Tuesday, July 16, 2013

Dimaag...


Khwabon Main Hamen Ab Door Door Rakhta Hai
Kambakht Dimaag Ne Bhi Tumhara Saath Chod Diya

(C) Shahid Parvez Sayed, July 15th, 2013

Saturday, July 13, 2013

Andhere ka safar...


Tanhaa Zaroor hoon, par Himmat Nahi Haari Hai
Woh Aur Baat hai ke Andhere ka Safar Jaari hai..

(C) Shahid Parvez Sayed

Friday, July 12, 2013

Aaj....



Mausam Vibagh ka Kehna hai ke
Aaj
Poora Din Yu hi Barsat hogi
Gulabi Sardi aur Badh Jayegi

Aur Saamne wali building ke ek ghonsle main 
Do Kabootar ek doosre main Ghus jaynge
Aankhen Band kar lenge
Aur Girti Boundon ki Jaltrang sunenge
Umoman Din ke Auqaat main 
Is Trah ki Harkat pe Naraz Hone wali Kabootri
Aaj Mazhamat na karegi...

Aaj Poora Din Barsat Yu hi Hogi..
Aaj Poora Din Tum Yaad Bahut aaogi

Mausam Vibagh bhi Yehi Kehta hai
Aaj....

(C) Shahid Parvez Sayed, July 12th 2013

Monday, June 24, 2013

Tanhaa....


Tumharaa Woh Ek Aansoo
Jo Bichadte Waqt Main
Apne Sath Liye Aayaa tha
Tanhaa Nahi hai Ab

Tumhari Yaad Par In Dino
Us Ka Sath Nibhaane 
Aur Bahut se Aansoo Nikal Aate hain
Khoob Jamti hai Phir in Sab Yaron Main
Der Raat Charche Jo Hua Karte Hain

Tumhari Mahobbat ki Shiddat ke
Tumhare Lafzon Ke Maani ke
Tumhare Jazbaat ki Hidaat Ke

Tumharaa Woh Ek Aansoo 
Tanhaa Nahi Hai Ab
Koi Bhi, Tanhaa Nahi Hai Ab!!

(C) Shahid Parvez Sayed, June 24th, 2013 @ 10 pm

Sunday, May 26, 2013

Meri Zindagi....


Yaden Fana nahi hoti
Yaaden Zindagi Banti hain

Kiyoon ke Har Guzarta Hua Lamha
Bagair Kisi Shartton ke 
Hamari Zindagi se Guzar kar
Apna kirdaar Nibha Chuka hota hai

Aur Ye to Mutsaqbil hai Jo
Haqeeqat Pasandi ka Chashma Lagaye 
Door se Sab Dekha Kartaa hai
Halaat Sazgaar Hone ka Intezaar Karta hai

Par Yaaden Fana Nahi Hoti
Woh Sar Jhukaye 
Jab Bulaya Chali aati hain
Yaden Zindagi Hoti Hain

Itne Baras Baad hi Sahi
Ab to Tum Bahut Khush hogi
Aakhir Kaar Ke ab Tum hi
Meri Zindagi ho!