Sunday, December 04, 2011

Tum ne mujh ko piro ke rakha tha.....(Gulzar)

Monday, November 28, 2011

28/11

Ansoouon ko Kaise Pata hota hai
Kaun si Taarikh hai ?
Kiya hua tha aaj ?
Kaun mila tha ?
Aur Kiyoon Bichad gyaa koi ?

Kaise Ye Bin Bataye chale aate hain?
Har Lamhe, Har Pal ko Apne Sath liye
Aur phir Sab Kaam Kaaj Rukwa kar Mere
Saari Tawajjah ye le lete hain...

Tareekhon aur Salgirahon ka Hisaab
to Bas Sirf Tum Khoob Rakhti thin...


Tawajjah = Attention, Salgirah = Anniversary
(C) Shahid Parvez Sayed

Sunday, November 27, 2011

Din dhale jahan, Raat paas ho!

Din Dhale jahan, Raat paas ho
Zindagi ki lau unchi kar chalo
Yaad aayen gar kabhi 
Jee Udaas ho
Meri awaaz hi pehchan hai
Gar yaad rahe...
(Gulzar)

Sunday, October 23, 2011

Tumhari Aakhri Araam Gaah...



Jab kisi ne meri Tanhayee ka sabab pucha
Tum se is Darjaa Judayee ka sabab pucha
Ye bhi Pucha ke tum kaun thin? Kaisi thin?
Kahan se Aayin thin?
Kiyoon chale Jana tha tumhen?
Kiyoon Tum Ruk nahi payin thin?

Main ne ye Keh diya, Sach keh diya
Ke Arsa hua, Mar Chuki ho Tum
Bandhan woh Saare Tod Chuki ho Tum
Apne hi Hathon Tumhen Dafan kiya hai main ne
Khud Pe Ek aur Sitam kiya hai main ne

Dafan kar di hain woh Muskurahaten
Jinhen dekh Dil jhoom jhoom ho uthta tha!
Woh Adaayen bhi 
Jo Sirf Tumhen hi aati thin
Aur Woh Gussa 
Jis main Mahobbat ki Tapish hoti thi
Woh Aankhen 
Jo mere Naam Pe Muskati thin

Ab Mere Dil ke Niha khano Main Madfoon ho Tum
Kaun kehta hai Meri Jaan Mujh se Door ho Tum?
Ab Ye Dil mera - 
Ek Qabar hai
Tumhari Aakhri Aaram Gaah...

(C) Shahid Parvez Sayed

Sunday, October 02, 2011

Ye batla do...

Kehte hain ke
Waqt ke sath sab badal jate hain
Rishte, Naate, Chere, Naam

Mahobbat ke woh lamhe bhi
Waqt ke aage sar jhuka kar
Poorane jazbon main
Naye maani talash karte hain

Aur Suraj ke gird ghoomne wali dharti
Ek naya mahwar talash kar
Phir se usi tezi se ghumne lagti hai
jaise ke kuch hua hi na ho!

Yehi zaroori hai shaid
Zindagi ki irtiqa ke liye
Badalna Laazim hai
Naye Rishton se wafa ke liye


To phir, ..
Halke dhaani, Aasmani rang
Jo Waqte-Rukhsat main
Tumhare Dupatte pe chod aaya tha
Woh kiyoon nahi badle?
Ye batla do

Bas ye batla do...

Monday, August 01, 2011

Ramzan in Atlanta


Jab koi dhaan paan si
Sanvli si dikhne wali ladki
Wazu kiye
Safed dupatta odhe
Mere khayal -e- masjid ki
Seedhiyon pe aa khadi hoti hai
Aankhon main bas ek lafz liye
"Chalen!"

Main ye samajh jata hoon
ke Ramzan aa chuka hoga!!

Thursday, June 23, 2011

Mumkin...


Aur phir yaad ke saare panchi
ek ek kar Ud jate hain...
Umr bhar ka sath kahan mumkin tha?

Saturday, March 26, 2011

Yaaden...


Jab Khuda kisi par khush hota hai to use Mahobbat ataa karta hai. Tumhen woh Atiya mila hai jo bahut kam insano ko milta hai. Aise halaat main jab ke tumhen is ki zara bhi tawakko na thi - tumhen mahobbat mili. Aur phir kaisi piyari ladki ki masoom mahobbat!

Halaat par tumhara kaboo nahi. Waqt ke sel ko tum nahi rok sakte - TUM DONO KO JUDA HONA THA!

Aise dil - aawez lamhe Lafaani hote hain aur mit jaate hain, lekin un ki yaaden reh jaati hain. Aur ye yaad zindagi ke udaas lamhon ko jagmagati hain-

Kaisa Qaif aawar khyaal hai ke kabhi tumhen ek bholi bhali mukhlis ladki ne chaha tha aur shaid ab bhi duniya ke kisi goshe main woh tumhen yaad kar leti hai - Kitni haseen yaad hai -

Sab kuch fanaa ho jataa hai - Yaaden Fana nahi hotin - Yaaden Zindagi banti hain...

(From Himakten by Shafiq-ur-Rehman)

Sunday, February 20, 2011

Help is on the way....


One of my friends 80 year old mother heard about Parveen's plight and donated Rs 100 today.

I was touched by her gesture. Earlier the same friend Shagufta Farouqui had offered Rs 10,000 which I refused. The reason being I am interested more in developing a genuine chain or a grass root movement than taking quick helps from my buddies.

There are so many Parveens out there. You can count on meeting hundreds of Parveenss in every city and every nook and corner of India. It will not be humanly possible to find and each and every one of them due to constraints on resources. What we need is a group of like minded people so that we can work on politicians to enforce minimum wage in India.

The government needs to step up to the plate to enforce child labor laws on the books and to provide education and job opportunities to these kids specially girls that have traditionally been left behind for thousands of years.

I am looking forward to being a part of that chain of people that can help transform the big picture as well.

I will report more donations as they come.

Enjoy the ride!

Wednesday, February 16, 2011

Parveen...



Name: Parveen, age 19, Education: school dropout
Father: Paased away when she was 10, Mother: Lost her senses
Brother: a retard, Occupation: Embroidery worker since age 10.
Earnings: Rs 50 a day ($1.15 a day). I repeat $1.15 a day.

She lives in a 50 sft corner of someone else’s house. She is the only bread earner of the family. She cooks and does household work herself as her mom cant do anything.

Her day starts at 6:30 as makes breakfast and lunch for her brother and mom and then she goes off to work. She comes home, cooks dinner and feeds them before calling it a night. This is every day, 365 days a year rain or sunshine.

I wonder what makes her get up in the morning each day? Knowing well that it will be another day when she would not be able to even communicate with her mother or brother.

I wonder why she is not jumping off a bridge or into a river to end this un-ending tragedy? Living with two half dead relatives cant be fun.

And I wonder why she is at least not bitter about life and its gruesome treatment of her? Why she never complains? What makes her smile even in these circumstances? What dream she cherishes, if any?

Her optimism and confidence inspires me as I begin my day.

Her story will inspire you too as you end a bad day at Emmanuel’s or at the nearest watering hole with bud light and a bunch of friends by your side.

Yet, your story will not help her in any way nor she is aware of your existence. She is not even aware that I am writing about her on the internet or what the hell internet stands for.

So people, while you may be having a bad day, someone 9000 miles away is having a bad life, for no fault of hers. Yet, she is keeping her chins up and her head high as she struggles in this life – all alone.

Have a good one!

Ps: I would be glad to be a conduit if someone wants to help her in any way.