Kehte hain ke
Waqt ke sath sab badal jate hain
Rishte, Naate, Chere, Naam
Mahobbat ke woh lamhe bhi
Waqt ke aage sar jhuka kar
Poorane jazbon main
Naye maani talash karte hain
Aur Suraj ke gird ghoomne wali dharti
Ek naya mahwar talash kar
Phir se usi tezi se ghumne lagti hai
jaise ke kuch hua hi na ho!
Yehi zaroori hai shaid
Zindagi ki irtiqa ke liye
Badalna Laazim hai
Naye Rishton se wafa ke liye
Badalna Laazim hai
Naye Rishton se wafa ke liye
To phir, ..
Halke dhaani, Aasmani rang
Halke dhaani, Aasmani rang
Jo Waqte-Rukhsat main
Tumhare Dupatte pe chod aaya tha
Woh kiyoon nahi badle?
Ye batla do
Bas ye batla do...
4 comments:
I have received a few worth publishing responses to this nazm. Here they are:
- Is trah har baar, har waqt ISHTEHAR bane rehna zaroori hai kiya?
- Behta paani sukoon deta hai..there to Beemari
:)
wowwwww......!!
@Ani, I am sure your "wow" is in response to the comments above.....nazm to bas aisi hi hai...lol
modesty i say..!!
Post a Comment