Naqshe Par Bani
Aadhi Tirchi Chand lakeeren
Kahan Kahan hamen le Gayin!
kisi Door Aftada ek Motel Ki taraf
Ya kisi college town ke restaurant tak
To Kabhi Dariya Pe Base ek Shhar ki Jaanib
Jo Hamen Apne Watan ki Yaad Dilayaa kartaa tha
Aur Phir Shaam Dhalne Se Pehle
Yehi Lakeeren, Wapas Hamen
Apne Ghar Pahnucah Diya Karti Thin
Hamari Sari Duniya Un Naqshon Main Hi to Thi
Albatta Woh Ghar Ab wahan Nahi Hoga
Woh Bhi Hum Dono Main Thoda Thoda Bant kar
Alag Alag Raston Pe Nikal gyaa Hoga
Woh Raaste, Jo Us Naqshe main Nahi the
Woh Raaste, jo Us Naqshe main Nahi hain
Shaam Hone ko hai......
(C) Shahid Parvez Sayed, May 10th 2013 @1:30 am
No comments:
Post a Comment