Wednesday, April 04, 2012

Har Manzar Tumhen Talash karta hai...


Doobta suraj aur ghar laut-te parindon ki qatar
Sard Hawa, Khamoshi, Aam ke woh Baug
Imli ke ped main uljha hua sa chaand
Jungle ke raston main kuch shoukh rang ke phool
Barsaat ki Phuwaren aur Bheegne ki woh zidd

Har Manzar ab jo milta hai
Woh tumhen talash karta hai
Aur ye swaal kartaa hai
Ke Ab tum saath kiyoon nahi aati?
Kiya kar rahi ho? Kahan Masroof ho tum?
Ya agar main Tanha ho chuka hoon to phir 
Har Martaba kis talash yahan aataa hoon?
Aur Kiya soch laut jataa hoon?


(C) Shahid  Parvez Sayed, April 5th, 2012

3 comments:

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

wow...

Ye manzilen !! said...

:)

Zindagi ne kiya naya surprise diya tumhen Ani? Sab theek?

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

sab theek sir...aap kaise hain..?