Thursday, April 12, 2012

Ration Card...



Ghar ke Ration Card par Tumhara Naam dekha
Use bhi Doosre Un Namo ki Trah
 Kaat diya gya tha
Jo Ab Sath Nahi Rahe..
Yani, Tumhare Hisse Ka Anaaj bhi ab
Mujh Tak Nahi Aata

Ek Zamana woh bhi tha jab
Tum Kacchi Pakki Rotiyan Bana kar
Jale Hue Hisse Khud Khaa kar
Mujhe Behla Liya karti thin
Aaj Tumhare Naam ka Rizq bhi
Tumhari Yaadon ki trah
Mujh pe Haraam hai

Go Waqt ne Hamare Tallouk Rok diye 
Par ye bhi Sach hai
Un Kacche Pakke Luqmon se
 Jo Khoon Bana tha
Jism main Mere wohi Rawan hai
Dil ki Sharyano main Raqs hai Jaari 
Zahan ke Gheriyon se Wohi Ayaan hai

Jis din Main Tumhare Hathon ki
 Adh Jali Rotiyon ka Zaiqa Bhool Jaoonga
Us din Ye Dil Ruk Jayega
  Daudta Khoon Tham Jayega...
Tab Main bhi Wahin Kahin so jaoongaa!

(c) Shahid Parvez Sayed, 11-4-12, Mumbai

No comments: