Ye Raaten to ab khoob katengei
Tumhen mil kar main ne socha tha
Un Roshan, Roshan Aankhon main
Jab Suraj sa Kuch Dekha tha...
Jungle, Bayaban, Sunsaan the Saare
Maidaano main bhi Tanhayee Thi
Nadiyan Chup Chup Behti thin aur
Manzil Apni Abhi Nahi Aayee thi ?
Phir bhi Hum-Tum Chal to Rahe the
Un Lambi Ghaneri Palkon ke Peeche
Khwaab Mere Kuch Pal to Rahe the..
Khwaab bhi Kaise Kaise the Woh?
Aanken, Maatha, Naak aur Palken
Bas Hum-Tum Jaise Jasie the Woh
Roshan Cheraa Jo Mujh pe Gyaa tha
Aankhen bhi to Bilkul Meri hi thin
Maathe ki woh Chand Lakeeren
Sach Sach kaho kiya mujh si na thin?
Haan Yun hi Tumhen Khush Karne ko
Bas Muskaan Tumhari Maangi thin..
Par Hum-Tum Shaid Bhool Gaye the
Ke Jungle main Kuch Naag bhi hain
Roti hain Mahobatten jinhen sun kar
Jeevan main Kuch Aise Raag Bhi hain..
Jana Tum To Jaa Bhi Chuki Ho
Par Raat Abhi Bhi Baaki Hai...
Lamha Lamha Hum ne Bune jo
Woh Khwaab Abhi Bhi Baaki Hain
Woh Raat Abhi Bhi Baakai hai...
Tumhen mil kar main ne socha tha
Un Roshan, Roshan Aankhon main
Jab Suraj sa Kuch Dekha tha...
Jungle, Bayaban, Sunsaan the Saare
Maidaano main bhi Tanhayee Thi
Nadiyan Chup Chup Behti thin aur
Manzil Apni Abhi Nahi Aayee thi ?
Phir bhi Hum-Tum Chal to Rahe the
Un Lambi Ghaneri Palkon ke Peeche
Khwaab Mere Kuch Pal to Rahe the..
Khwaab bhi Kaise Kaise the Woh?
Aanken, Maatha, Naak aur Palken
Bas Hum-Tum Jaise Jasie the Woh
Roshan Cheraa Jo Mujh pe Gyaa tha
Aankhen bhi to Bilkul Meri hi thin
Maathe ki woh Chand Lakeeren
Sach Sach kaho kiya mujh si na thin?
Haan Yun hi Tumhen Khush Karne ko
Bas Muskaan Tumhari Maangi thin..
Par Hum-Tum Shaid Bhool Gaye the
Ke Jungle main Kuch Naag bhi hain
Roti hain Mahobatten jinhen sun kar
Jeevan main Kuch Aise Raag Bhi hain..
Jana Tum To Jaa Bhi Chuki Ho
Par Raat Abhi Bhi Baaki Hai...
Lamha Lamha Hum ne Bune jo
Woh Khwaab Abhi Bhi Baaki Hain
Woh Raat Abhi Bhi Baakai hai...
Folks: This Nazam just descended a few hours ago. No need to get emotional about it. Well, the story is, when I returned from work I found that a teacup, which I had forgotten to throw in the sink, was lying by my computer, so were the socks, and that junk mail from yesterday. No one had arranged all these things to their proper places.... Bas khodpi kharab ho gayee...aur ye phir nazam hogayi.
Ulti seedhi jaisi bhi hai, I am sharing an un-edited version with you’ll. This goes to prove how much I trust the readers of my blog....
Peace...Raat abhi bhi Baaki hai......
Ps: Kash ke who saale Moze, who chai ka cup apni jagah pe hote to ye sab to nahi likhna padta …...(not that I regret writting whatever showed up in my heart...)
(C) 2007 - Shahid Sayed
12 comments:
Awwwww no English translation?
shukr khuda ka wo wahin the....itni acchi nazm na padhne ko milti...aur unedited versions...mujhe t bahut acche lagte hain..aur kisi ko lagen na lagen...!
raat to guzar hi gayi..nahi guzare to wo chand lamhe...apun ka bhi kuch aisa ch haal hai bidu!
@ Princess: Mujhe kiya pata tha ke ek princess bhi mujhe padhti hai? Ab english padha hua banda khaan se laoon?
Translation:
@ Princess: I had no idea that even a princess reads my blog. Now where will find someone who knows real english?
Happy? With translation this time....Thanks for stopping by. You keep ur passort ready at all times, so I must translate it before u show up at my place...
@ Anirudh: To Janab duniya main hain....chalo is bhanne tumhari khairiayat to mili....Glad to see u enjoyed my miseries...
LOL...
Still my favorite one is " hathon main liye woh boonden..."
@ Jyoti:
Thank you hai....raat chalu hai....raaten khaan yu khtam hoti hain...woh raat hi kiya jo khatam ho jaye..
wah....aur link ka shukria
*claps*
*smiles*
Faith-
Accha beta, Hamrari Tnahiayon pe khush ho?
LOL
Thanks for coming out of retirment.
thanks a lot for giving me the honour of among your links!!
Indescribe, Jyoti:
The pleasure is mine....
:)
hehe..haan kuch aisa hi samajh lijiye....jo pehle sahfon par hote the ab internet pe majmue hain..wahan na jao to wajud nahi rehta...i have moved to a nu house and haven got net installed at my place abhi taq...par lagta hai aap nahi manenge..baar baar wahi jumla kehkar sharminda na kiya kijiye...!
Itna accha likhoge to jitni baar enjoy karenge tareef karenge....warna kharab likho..!!!
LOL
It is an awesome line : "Hathon main liye woh boonden jo pehle barsaa karti thin"
Post a Comment