Showing posts with label Shahid Sayed new nazm. Show all posts
Showing posts with label Shahid Sayed new nazm. Show all posts

Friday, December 28, 2012

Hamara Shahr...


Jab shahr ki be-Chainyan, bad-Gumaniyan
kisi Khaarish zada kutton ki trah
Mujhe  dauda kar jab
Kisi station ke platform tak khaded aati hain
Tab Main khud ko Tanhaa bahut hi pata hoon
Chun kar kirchiyan apne khwabon ki
Larazta hoon, saham saham jataa hoon
Trains aati hain, Guzar jaaati hain
Sochta hoon,
Kahan jaoon, pahunchon kidhar ko main?
Koi khidki , Na darwaza koi intezar main hai
Na koi Har aahat Pe Meri  kaan dhare
TV ke saamne hai, magar dekhtaa nahi
Aur  na hi koi mere poorani Tasveeren
Dekh raha hai, Mujhe soch raha hai


Ye shahr HAMARA nahi jahan  main rehtaa hoon
Isi liye to yu Tanhiayyan main Sehtaa hoon.

(Bad-Gumaniyan = Misunderstands)
(C) Shahid Parvez Sayed

Saturday, May 19, 2012

Be-Khwaabi....

Aur Jab Tum Mere Seene pe Sar Rakh Kar
Soti Aankhon ke, Jaaggte Khwaabon ka Mazaa Leti Thin
Tab main Tumhen Dekh Ye Sochtaa tha
Is Ke Pehle Ye Lamhe Bhi Kahin Kho Jayen
Inhen Apne Wajood Main Samet Loon 
To Behtar hai....

Ab Jab ke Mere Bistar Pe
Din Ki Thakan aur Raat ki Silwaton ke Siwa 
Kuch nahi Hota
Main Un Lamhon ko Seene Pe Sula Detaa Hoon
Is trah Apni Be-Nighahii, Apni Be-Khwaabi 
ka Mazaa Letaa hoon!!

(c) Shahid Parvez Sayed, 20-05-12@ 3:00 am