Saturday, September 13, 2008

Banjaara...


Main Bechara
Ek Banjara
Awara Phirte Phirte jab thak jaonga
Tanhayee ke Teele par Ja kar Baithoonga
Phir Jaise Pehchaan ke mujh ko
Ek Banjara jaan ke mujh ko
Waqt ke agle Shahr ke
Saare Nanhe Munne Bhole Bhaale Lamhe
Nange Paoon
Daude Dadue Bahage-Bhaage aa jayenge
Mujh ko gher ke baithenge
Aur mujh se Kahnege
Kiyon Banjare
Tum to Waqt ke kitne Shahron se Guzre ho
Un Shahron ki Koi Kahaani Hamen Sunao..

Un se Kahoonga
Nanhe Lamho
Ek thi Raani...

Sun ke kahaani
Saare Nanhe Lamhe
Gamgeen Ho kar mujh se puchenge
TUM kiyoon un ke shahr na aayin?

Lekin un ko Behlaa Loonga
Un se Kahoonga
Ye Mat pucho
Aankhe mundo...
Aur Ye Socho....

Tum Hoti to kaisa hota?
Tum is Baat pe Hairan hoti
Tum us baat pe Kitni Hansti?
Tum Hoti to Aisa Hota...
Tum hoti to Waisa Hota...

(C)Tarkash by Javed Akhtar

5 comments:

rainboy said...

//Tum Hoti to kaisa hota?
Tum is Baat pe Hairan hoti
Tum us baat pe Kitni Hansti?
Tum Hoti to Aisa Hota...
Tum hoti to Waisa Hota...//

wow man! thank a ton for sharing this.

Ye manzilen !! said...

ur welcome....

Unknown said...

Before:
Tum Hoti to kaisa hota?
Tum is Baat pe Hairan hoti
Tum us baat pe Kitni Hansti?
Tum Hoti to Aisa Hota...
Tum hoti to Waisa Hota...//

After:
Tum na Hoti to kitna acha hota
May aram say football match dekhta
Aur geela towel bed pe pehankta
Abb tum ho tu asa nahi hota
Tum na Hoti to kitna acha hota!!
Abb tu

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

one of my favs

everytime i read dis one.. i am so reminded of how innocent all these thoughts are.. babylike..!! i wish.. kabhi koi shayar ye sochne na paye..!!

shayar kya koi bhi nahi sochne paye aisa..!!

Ye manzilen !! said...

Dia:
FYI geela towel bed pe phenkda isi liye jata hai ke yaad karne ka koi bahana ro rahega!......Puch len udhar!

Ani:
Sweet u are. But please remember Gham = depth, agar dil main gherayi na hogi to phir yaar log " Sarkaye le kahtiya" likhenge.

We dont want that..do we?

Doosron ko na jayen....shahir ke paas rehne de yen inaam-e-gham!