Phirte hain kab se dar badar ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke hum safar main aur meri aawargi
Naa-ashna har reh-guzar naa-meherban har ek nazar
Jayen to ab jayen kidhar main aur meri aawargi ?
Hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbaaad the ?
be-fikr the aazad the masroor the dilshaad the
woh chaal aisi chal gaya - hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jalaa ke apna ghar main aur meri awwargi !
jeena bahut assan tha jo ek shaks ka ehsaan tha
hum ko bhi ek armaan tha jo khwaab ka samaan tha
ab khwaab hain na jaarzoo, armaan hain na justaju
yun bhi chalo khush hain magar main aur meri awwargi!
----- Javed Akhtar ( Tarkash)
No comments:
Post a Comment