"Darakht!"
Woh Darakht,
Jo Hamare Ghar Ke Saamne
Ba Masl e Pehre Daar Khada Rehta Tha
Woh Darkaht Jo Tumhen Khsuh Dekh Jhoom Jhoom Uthta Tha
Wohi Darakat Jo Tumhari Zara Si Baat Pe Bhi Hansata Tha
Wohi Darkat Jise Tum Ghanton Nihara Karti Thin
Salaa Kehtaa Nahi Tha, Piyar Woh Bhi Karta Tha
Woh Darkaht Jo Shahid Hamare Din, Hamari Raat Ka Tha
Wohi Darkaht Jo Haasil Hamare Khwaab, Hamari Zaat Ka Tha
Woh Darkaht Jo Badalte Masaum Ki Mushkilen Bhi Sehta Tha
JabTak Sath Tha Tumharaa, Woh Kab Kisi Se Dartaa Tha ???
Woh Darkaht Aaj Kaisa Hai, Kis Haal Main Hai? Kiyoon Hai?
Kisi Din Ye Bhi Socho to
Koi Din Waqt Mile To Use Dekhne Chali Janaa
Kyoon Ke Woh Khud Tum Tak Aa To Nahi Aa Payega
Jadon Ne Baandh Hai Rakha, Himmat Na Juta Payega
Jaden Khokli Bhi Hon To
Zinda Wohi To Rakhti Hain!!
(C) Shahid Parvez Sayed, March 9th, 2015
No comments:
Post a Comment