Aye Gangaa Meri...
Hazaron Saal se Isi Muqaam se Beh kar
Jaane Kaise Kaise Manzar Dekhen Honge
Sukh ke, Dukh ke aur bhi bahut
Sukh ke, Dukh ke aur bhi bahut
Aur phir
Kisi Sugadh Aurat ki Trah Tum ne
Un Sab ko Apne Seene main Samo Liya hoga
Jaise ke Kuch hua hi Na tha...
To Phir us Manzar ko Bahaa kiyoon na Le gayin?
Jab Ek Joda Kinaare Tumhare Utra tha
Jab Mehndi ke Rang Taaza the
Aur Armaano Ka Dera Tha
Jab Kehkahye aur Sargoshiyon ne
Kitne Khwabon ko Ghera tha
Jab Kisi ki Muskurahat ne
Noor Thumhare Chere pe bhi to Bikheraa tha!
Itne Baras baad Woh Manzar
Aaj bhi wahin Pe Rehta hai
Main Khud Use Dekh Kar Ke lauta hoon
Meri Mano to, Aye Gangaa Meri
Jis Trah Waqt Ke Bahao ne
Us Jode ko Alag Alag Kinaro Pe Utaara hai
Tum bhi Us Manzar ko bahaa Le Jao
Aur Is Raaz ko aur Raazon Ki Trah
Apne Seene main Samaa Jaane do
Ab Is Manzar ko Beh bhi Jaane do!!
(C)Shahid Parvez Sayed, April 13th, 2013
2 comments:
koi kisi ki alfaaz mein beh jaye aisa bhi hua hai kuch abhi
Ani: Kash ke ye bas chand "lafz" hi hote!
:)
Post a Comment