Monday, February 18, 2008

Ye Dard...




Ye Dard Hamesha se jo darmyaan raha hai
Yehi Dard to Wahshat ka Samaan Rahaa hai

Isi Dard ki Kasam Khaa ke tum aaj bata do
Kiya ab yu hi khush ho tum itna to bata do?
Main is Dard ko lekar kahin chal doonga
Waade jo kiye tum ne woh sab to bhula do!
Tasveer hai meri, khat hain un ko bhi jala do
Keh do ke tumhen ab meri koi fikr nahi hai
Tanha Raton main ab mera koi Zikr nahi hai

Ye hi Dard to Hamesha se Darmyaan raha hai
Ye hi Dard to Wahshat ka Samaan rahaa hai..

(C) Shahid Sayed