Sunday, January 20, 2008

Us din bhi to Barf Padi thi...




Us din bhi to Barf Padi thi
Jis din koi mere kadmo ke nishano ko
mashle-raah samajh peeche chal raha tha
kisi ki sargoshiyon main ye dua thi
kash ke ye baraf hamesha yu hi rahe
aur main tumhare banaye hue nishano pe
chalte chalte Manzil apni jaa pahunchu

Aaj bhi dekho to ye Barf Padi hai...
Goya Aasmano ne Zameen ke canvas par
Abstarct paintings si koi ki hai
ya acchi se koi Ghazal likhi hai

Par Aaj Din kiyoon udaas raha Din bhar?
Hansti hui ye Raat kiyoon Ro padi hai?

(c) Shahid Sayed, January 20, 2008

2 comments:

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

Par Aaj Din kiyoon udaas raha Din bhar?

is line ne jaan le li..!
bahut...acchi thi

Ye manzilen !! said...

Ani:
Woh to accha hai ke saare din EK jaise nahi hote...
Thanks
:)