Kasie kahen hum piyar ne hum ko kiya kiya khel dikhaye
Yu sharmayee kismat hum se khud se hum sharmaye !!
Baghon ko to pat jhad loote, loota hamen bahar ne
Duniya marti maut se lekin, maraa hum ko piyaar ne
Apna woh haal hai beech safar main jaise koi lut jaye
Tum kiya jano kiya chaa tha kiya le kar aaye hum ??
toote sapne, ghayal nagme, kuch sohle kuch shabnam
Kitna kuch hai payaa hum ne kahen to kahaa na jaye
Kaise kahen hum piyar ne hum ko kiya kiya khel dikhaye?
SP
1 comment:
Mujhe se mut pooch meray ishq me kya rakha hai
ek shola hai jo seenay may chupha rakha hai
dagh e dil dagh e jigar dagh e tamana laikar
mai nay veeran baharon ko saja rakha hai
hai zamana jisaey baitab mitanay kay liyae
mai nay us aag ko seenay se laga rakha hai
dekhnay walay tujhay dard e mohabat ke qasam
mai nay es dard may dunya ko chupha rakha hai
Post a Comment