Saturday, July 01, 2017

Daya Shankar Ki Diary - an unfinished story!



Apparently I was writing a short story years ago. It’s titled " Daya Shankar Ki Diary". It talks about Daya Shankar at the airport. Recalling moments before his flight. What are hitting my heart are these lines:
Daya Shankar ki diary...
" Apni Budhi Maa Ko Is Umr Maain Chodd Jaane Ka Shadeed Afsos Hai Mujhe. Main Apne Aansoo Rok Raha Hoon aru Kamyaab Bhi Hoon.
Lekin Jab Maa Ne Gale Lagaa Ke Kahaa Ke ' Pata Nahi Ab Tum Kab Wapas Aao?Main Rahoon Na Rahoon. Jao Main Ne Tumhara Doodh Maaf Kiya'.
Ye Sun Kar Main Khudd Ko Rok Na Paya. Aansoo Aa Hi Gaye. Doosron Ki Maujoodgi Main Main Maa Se Woh Sab Na Keh Payaa Jo Chahhta Tha. Main Ab Maa Ka Chehra Yaad Kar Kar Raha Hoon. Un Ke Chehre Ki Ek Ek Lakeer Ko Apne Dimag ki Har Rag Main Basa Raha Hoon - Kahin Ye Aakhri Mulaqaat Na Ho!"
Mujhe Tum Se Shadeed Nafrat Ho Chali Hai Be-wafa Aurat - Dekho Tumhari Daulat aur Imaaraat Ki shart ne Mujhe Kin Halaaat....

No comments: