Sunday, May 26, 2013

Meri Zindagi....


Yaden Fana nahi hoti
Yaaden Zindagi Banti hain

Kiyoon ke Har Guzarta Hua Lamha
Bagair Kisi Shartton ke 
Hamari Zindagi se Guzar kar
Apna kirdaar Nibha Chuka hota hai

Aur Ye to Mutsaqbil hai Jo
Haqeeqat Pasandi ka Chashma Lagaye 
Door se Sab Dekha Kartaa hai
Halaat Sazgaar Hone ka Intezaar Karta hai

Par Yaaden Fana Nahi Hoti
Woh Sar Jhukaye 
Jab Bulaya Chali aati hain
Yaden Zindagi Hoti Hain

Itne Baras Baad hi Sahi
Ab to Tum Bahut Khush hogi
Aakhir Kaar Ke ab Tum hi
Meri Zindagi ho!


Thursday, May 23, 2013

A City by the river...




Years ago while driving thru a small town, US the Maqtaa for this ghazal descended upon me. I posted it on my blog but chose not pursue the entire ghazal. Today, after so many years I thought what the heck.....I aint gonna feel apologetic about a certain town by the river....I might as well celebrate its existence in my life...so here is the ghazal with remaining ashaar. Enjoy.

Sulagti Yaadon ka Dariya Udhar Jo Behta hai
Zaroor Wahin Kahin Ek Be-Wafa bhi Rehtaa hai

Bin Chaand Siyah Raaten Apna Muqaddar to hain
Aasman pe Uske Andhera magar kiyoon rehtaa hai?

"Itne Baras baad bhi main, Tum ko Samajh na Paayi!"
Kal Kehtaa tha woh, Suna hai , Ab Bhi Yehi Kehta hai

(C) Shahid Parvez Sayed, May 15th, 2013

Thursday, May 09, 2013

Naqshaa Pe Bani Chand Lakeeren..



Naqshe Par Bani 
Aadhi Tirchi Chand lakeeren 
Kahan Kahan hamen le Gayin!

kisi Door Aftada ek Motel Ki taraf
Ya kisi college town ke  restaurant tak
To Kabhi Dariya Pe Base ek Shhar ki Jaanib
Jo Hamen Apne Watan ki Yaad Dilayaa kartaa tha

Aur Phir Shaam Dhalne Se Pehle 
Yehi Lakeeren, Wapas  Hamen
Apne Ghar Pahnucah Diya Karti Thin
Hamari Sari Duniya Un Naqshon Main Hi to Thi

Albatta Woh Ghar Ab wahan Nahi Hoga
Woh Bhi Hum Dono Main Thoda Thoda Bant kar
Alag Alag Raston Pe Nikal gyaa Hoga

Woh Raaste,  Jo Us Naqshe main Nahi the
Woh Raaste,  jo Us Naqshe main Nahi hain
Shaam Hone ko hai......

(C) Shahid Parvez Sayed, May 10th 2013 @1:30 am