Saturday, November 02, 2013

Tumhari Yaaden....


Ye Duniya Ek Veerana Hai
Phir Bhi Chalte Jana Hai

Door Ufaq Ke Paar Tale
Chunke Tum Ko Panaa Hai

Dil Bojhal, Jism Hai Ghayal
Phir Bhi to Muskurana Hai

Khwab Thin Tum, Koi Pari Thin
Dil Ko Ab Samjhana Hai

Pehle To Tumhari Sun Leni Hai
Phir Khoob Tumhen Rulana Hai

Jaise Taise Umr Kati Hai
Ab Koi Aur Gul Khilana Hai?

Duniya Hai Ya Ek Chalawa
Kiya Aana, Kiya Jaana Hai!

Tumhari Yaaden Khatam Nahi Hotin
Kiya Qaroon Khazana Hai!

Hogi Kahin Kisi Ped Ke Neeche
Woh Qabr Hi Ab Thikana Hai

(C) Shahid PArvez Sayed


Tuesday, September 24, 2013

He said - She said



AMEER - E- QAFILA

INT. NIGHT. LIVING ROOM

They are chatting using Yahoo chat. He in US and She in a Cyber Cafe in India


He Said: Aaj main kaam se Ghar aate waqt khoob Roya hoon...
She Said: Oh Sheen.....kiyoon? kiya hua?

He: Aaj Mera College ka Dost Ehsaan Rashid apni family ke sath Restaurant aaya tha. Mujhe waiter  ke Dress  main dekh kar shock laga use. Phir us ne situation sambhal li.....mujhe apni family se introduce karwaya....baaten ki...

She: I am sorry Sheen .....Sambhalen apne aap ko...
He: Ye wohi Restaurant hai Jahan kuch Saal pehle meri Graduation ki Party hui thi.....kaise kaise khwaab dekhe the us din.....kaisis baaten ki thin....woh table aaj mera moonh chidata hai ...Main ne Faisla Kar liya ...

She: Kiya?

He: Main Wapas aa Raha hoon....Main Haar gyaa......Main wapas aa raha hoon...Mujhe Job nahi milni....koi mera Visa nahi sposnor karegaa....Interview ke bulawe aate hain...magar Work visa sposnor ke liye taiyyar nahi koi....

She: Nahi Sheen....aisa mat karen....koi na koi company to aap ka Visa sponsor karegi hi....koshish karen.....aur Aap to Ameer - e- Qafila hain....aap kasie Haar Sakte Hain? Is trah Haar Kar wapas aayenge to Biwi ke Pehlu main Neend bhi nahi aayeggi.....ye Jung to Aap ko Har Haal  main Jeetni hai Sheen.....kcuh bhi Ho jaye...Main Aap ke sath hoon...

Four  months after this conversation he found an employer named Larry Dent, a sensitive white man whose DNA did not believe in any discrimination on the basis of caste, religion, country of origin or color,  hired him and agreed to file for his work visa.

He got her to fly to him before he joined the new job. She landed in Atlanta on 14th July wearing a dress of his  favorite color - Yellow.  He joined the new job on 17th July, three days after she arrived..

ps: After picking her up from airport, he drove on I - 285 ( an outer loop that circles Atlanta city) for hours. When she asked the reason for driving on I - 285 and not going home straight  he answered that  He is paying homage to a city that gave him second chance at life.....

pps: Larry Dent, now retired lives in Gainesville, GA, Poona Restaurant still exists but at a different location, Ehsaan Raashid, EE class of 91, GA Tech, lives in Atlanta,

She lives in small town, USA and he .....he is alive some place,  India!!

Tuesday, September 03, 2013

Shab-e-Gham...

Shabe Gham Guzarta Hai Koi
Tumhen Ab Pukarta Hai Koi

Utha ke Bojh Tumhari Yaadon Ke
Yun Ehsaan Utarta Hai Koi

Rakh Tumhari Tasveer Saamne
Yu Tumhen Niharta Hai Koi

Tum Khyal thin Kisi Aashiq Ka
AbYehi Sach Maanta Hai Koi

Piyar to Un dino Bhi Karta Tha
Iqraar ab kiye Jataa Hai Koi

Tumhare Milne Ki Ummed Par
Khud Ko Sambhalta Hai Koi

Shabe Gham Guzaar Akal Aa Gayi
Apni Aaqbat Sanwarta hai Koi

Tumhen Haar Kar Zamane hue
Ab Khud Ko  bhi Haarta Hai Koi

(C0 Shahid Parvez Sayed, September 3rd 2013

Sunday, September 01, 2013

"Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?"




Jab Raston Main Sare Aam, Yu Hi Chalte hue
Koi Mahobbat Nahi karta, Na kuch Jatataa hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Kisi Saneechar Ki Subah Tumhare Bistar par
Koi Banaa Kar Nashta Nahi Laataa, Na Khilata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?
  
Jab Tumhari Aankhon par, Muskurahoton par
Koi Nazmen  Nahi kehta, Na hi Gungunata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Umr Main Ek Baras Aur Jama Ho Jaane Par
Tumhen Haseen, Aur Haseen Tar Nahi Batlata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Tumhare Jazbon ki Shiddat, Wafa aur Shoki ke
Kuch Qisse Duniya ko Nahi Sunwataa, Na Batata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Rotiyan Banate Waqt Aaye Hue Zakhmo par
Koi Afsos Nahi karta, Aur Na Lipat Jata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Udaas Dekh kar Tum ko  Sare Shaam Jab Koi
Khamoshiyan Nahi Sunta, Na Samajh Jata Haai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Tum Bazar se Laane ke liye kuch Kehti ho
Janab who to Nahi Laataa, kuch aur liye aata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Bagair Baatye Jab Koi Office Tumahre Aataa hai
Tum Use Dekh Khil Jaati ho, Who Muskata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Badi Khareedari Ko Taalne, Pasie Bachane ke Liye
Chikni Chapdi Baaten koi karta hai, Na Ithlata hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

“Main Aap ke Liye Poori Duniya se Lad Sakti Hoon”
Ye Keh Hue, scohe Hue Ik zamana sa Hua jataa Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Hazaron Meel ke Fasloon, Itni Doori ke baa- wajood
Koi Tumhare Din raat, Subah Shaam Samajh Jataa hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

Jab Dasht-e-Tanhayee main Bhatakta Hua koi Shair
Wohi  Gurzri Baaten Sochta Hai, Dohrata Hai
Tab Yaad Tumhen Kaun aata hai?

(C) Shahid Parvez Sayed, August 31st, 2013 @ 2:30 am



Wednesday, August 28, 2013

Do Qabren..




Koi Din
Ajnabi Desh Main Chand Log
Kisi Weekend Ko
Tumhen Ek Khubsurat Qabrastan ki 
Thandi Zameen main
Mehakte Hue Casket main Lita Kar
Ek Qabar ke Hawale Har Denge

Main Yahin Kisi Poorane Qabrastan ki
Khamoshi ka Hissa
Ujlat aur Be Hurmati se Bana Diya Jaoonga
Yaani Marne ke Baad bhi Bum
Door, Bahut Door Dafan Honge..

Ye Batao, 
Ab Kis Ummed Pe Marna Hoga?

(C) Shahid Parvez Sayed, August 28th, 2013, 5:10 PM



Monday, August 26, 2013

Ghar...

Tum 
Woh ke Jisko Ek Ghar Ki 
Hamesha Arzoo Thi
Shahr Ki Tnahaiyon Main
Ek Chota, Apna Sa Ghar
Jahan Hukum Tumhara Chale
Jis Ke Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas EkTum Hi Ho

Main, 
Ek Shair e Sarkash, Baghi, Awara Mijaaz
Jise Duniya Ki 
Farsuda Riwayat Se Nafrat Rahi Hamesha
Main Bhala Tumhe Koi Ghar Kiyoon Kar Deta?

Mera Ye Manna Hai
Mera Ghar, Mera Mahollah, Mera Watan, Meri Jaat
Woh Ped Hain ke Jin Main
Tassub aur Nafrat Ke Phal hain Panapte 

Mujhe To Is Duniya se 
Kuch Is Trah Guzar tha Jana
Ke Mano Main tha Hi Nahi
Ke Jaise Kuch Hua Hi Nahi
Main Tumhen Ghar Kiyoon Kar Deta?

Par
Itne Baras Baad Ye Ehsaas Ab Hua
Ke Ghar To Main Ne Tum Ko
Un Dino Hi Tha diya
Woh Ghar Dekho Jis Main
 Tumhara Hukum Hai Chalta
Jiski Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas Ek Tum Hi Ho
Woh Chota, Apna Sa Ghar
Mera Dil Hai 
Aye Meri Jaane Jahan

Ho Sake to Ek Baar Is main
Basne Phir Chali Aana.....

(C) Shahid Parvez Sayed, Auguist 26th, 2013, 10:15 am



Wednesday, August 14, 2013

Sayed - Zaadi...


Aur Jab Shahr Ke Akalmandon ne
Meri Tasveer Pe Aitraaz Kiya
Chupa Di thi Tum Ne Woh Tasveer Meri
Ek Hukum Aur Aayaa Phir
Ke Ab Naam Bhi Badalna Hoga
Tum Is Baat Pe Biphar Gayin 

Kiya Zaroori Hai Ye?
Woh Naam Mujhe Pasand Hai Bahut
Main Naam Nahi Tabdeel Karoongi

Aaj Shahr Ke Akalmand Mutmain Hain
Ke Jo Kiya Accha Kiya
Sirf Mujhe Pata Hai aur Tumhen Bhi
Ke US Shhahr Main 
Ab Ek Naye Label Ke Sath
Ek Sayed - Zaadi Rehti Hai


Thursday, August 08, 2013

Chaand Ka Peecha....


Yaad hai Un Dino
Tumhari Zulf ki Trah
Bal Khaahti, Lehrati, Shaffaf Sadak Par Hum
Chaand Ka Peecha Karte The!

Sadak Ke Mudte Hi woh bhi
Kabhi Tumhari Taraf aur 
Kabhi Meri Taraf Chala aataa tha

Phir Ek Raat
Ek Teele Par Motor Rok Kar Main ne
Tum se Kaha tha 
"Woh Raha Tumhara Chaand!"

Aur Tum ne 
Apni Peshani Mere Seene Se laga kar
"Mera Chaand Yahan Hai" 
Confirm kiya tha...

Bagair Chaand Dekhe Eid Kaisi Hoti Hai?
Bas Ye Batla do...

(C) Shahid Parvez Sayed, 9-8-13 @2:30am

Saturday, July 20, 2013

Labels.....




Mukhtasar Si Judayi par
Kahin Jaate Waqt Tum
Hamesha Kitchen Ke Lawzmaat Par
Pehchan ke Liye Label Laga diya Karti thin
Shakr, Namak, Aata, Daal...
Aur Phir Ghar se Airport Tak 
Hidayeten Detin ke
 Kaun Si Cheez Kahan Rakhi hai
Aur Ye Shikyat Bhi Ke
Itna La-Parwah kiyoon Ho Gayaa Hoon main?

Suno, Aaj Suabh Se Woh Dabba Nahi Mil Raha hai
Jis Par Tum ne Kahin Jaate Waqt 
Ye Label Lagaya tha
Zindagi!

Is Martaba to Ye Judaii Khatam Na Hone Wali
Kuch Yaad Hai
 Kahan Rakha tha Tum ne Use?
Aaj Subah se...

(C) Shahid Parvez Sayed, 20-7-2013



Tuesday, July 16, 2013

Dimaag...


Khwabon Main Hamen Ab Door Door Rakhta Hai
Kambakht Dimaag Ne Bhi Tumhara Saath Chod Diya

(C) Shahid Parvez Sayed, July 15th, 2013

Saturday, July 13, 2013

Andhere ka safar...


Tanhaa Zaroor hoon, par Himmat Nahi Haari Hai
Woh Aur Baat hai ke Andhere ka Safar Jaari hai..

(C) Shahid Parvez Sayed

Friday, July 12, 2013

Aaj....



Mausam Vibagh ka Kehna hai ke
Aaj
Poora Din Yu hi Barsat hogi
Gulabi Sardi aur Badh Jayegi

Aur Saamne wali building ke ek ghonsle main 
Do Kabootar ek doosre main Ghus jaynge
Aankhen Band kar lenge
Aur Girti Boundon ki Jaltrang sunenge
Umoman Din ke Auqaat main 
Is Trah ki Harkat pe Naraz Hone wali Kabootri
Aaj Mazhamat na karegi...

Aaj Poora Din Barsat Yu hi Hogi..
Aaj Poora Din Tum Yaad Bahut aaogi

Mausam Vibagh bhi Yehi Kehta hai
Aaj....

(C) Shahid Parvez Sayed, July 12th 2013

Monday, June 24, 2013

Tanhaa....


Tumharaa Woh Ek Aansoo
Jo Bichadte Waqt Main
Apne Sath Liye Aayaa tha
Tanhaa Nahi hai Ab

Tumhari Yaad Par In Dino
Us Ka Sath Nibhaane 
Aur Bahut se Aansoo Nikal Aate hain
Khoob Jamti hai Phir in Sab Yaron Main
Der Raat Charche Jo Hua Karte Hain

Tumhari Mahobbat ki Shiddat ke
Tumhare Lafzon Ke Maani ke
Tumhare Jazbaat ki Hidaat Ke

Tumharaa Woh Ek Aansoo 
Tanhaa Nahi Hai Ab
Koi Bhi, Tanhaa Nahi Hai Ab!!

(C) Shahid Parvez Sayed, June 24th, 2013 @ 10 pm

Sunday, May 26, 2013

Meri Zindagi....


Yaden Fana nahi hoti
Yaaden Zindagi Banti hain

Kiyoon ke Har Guzarta Hua Lamha
Bagair Kisi Shartton ke 
Hamari Zindagi se Guzar kar
Apna kirdaar Nibha Chuka hota hai

Aur Ye to Mutsaqbil hai Jo
Haqeeqat Pasandi ka Chashma Lagaye 
Door se Sab Dekha Kartaa hai
Halaat Sazgaar Hone ka Intezaar Karta hai

Par Yaaden Fana Nahi Hoti
Woh Sar Jhukaye 
Jab Bulaya Chali aati hain
Yaden Zindagi Hoti Hain

Itne Baras Baad hi Sahi
Ab to Tum Bahut Khush hogi
Aakhir Kaar Ke ab Tum hi
Meri Zindagi ho!


Thursday, May 23, 2013

A City by the river...




Years ago while driving thru a small town, US the Maqtaa for this ghazal descended upon me. I posted it on my blog but chose not pursue the entire ghazal. Today, after so many years I thought what the heck.....I aint gonna feel apologetic about a certain town by the river....I might as well celebrate its existence in my life...so here is the ghazal with remaining ashaar. Enjoy.

Sulagti Yaadon ka Dariya Udhar Jo Behta hai
Zaroor Wahin Kahin Ek Be-Wafa bhi Rehtaa hai

Bin Chaand Siyah Raaten Apna Muqaddar to hain
Aasman pe Uske Andhera magar kiyoon rehtaa hai?

"Itne Baras baad bhi main, Tum ko Samajh na Paayi!"
Kal Kehtaa tha woh, Suna hai , Ab Bhi Yehi Kehta hai

(C) Shahid Parvez Sayed, May 15th, 2013

Thursday, May 09, 2013

Naqshaa Pe Bani Chand Lakeeren..



Naqshe Par Bani 
Aadhi Tirchi Chand lakeeren 
Kahan Kahan hamen le Gayin!

kisi Door Aftada ek Motel Ki taraf
Ya kisi college town ke  restaurant tak
To Kabhi Dariya Pe Base ek Shhar ki Jaanib
Jo Hamen Apne Watan ki Yaad Dilayaa kartaa tha

Aur Phir Shaam Dhalne Se Pehle 
Yehi Lakeeren, Wapas  Hamen
Apne Ghar Pahnucah Diya Karti Thin
Hamari Sari Duniya Un Naqshon Main Hi to Thi

Albatta Woh Ghar Ab wahan Nahi Hoga
Woh Bhi Hum Dono Main Thoda Thoda Bant kar
Alag Alag Raston Pe Nikal gyaa Hoga

Woh Raaste,  Jo Us Naqshe main Nahi the
Woh Raaste,  jo Us Naqshe main Nahi hain
Shaam Hone ko hai......

(C) Shahid Parvez Sayed, May 10th 2013 @1:30 am

Friday, April 26, 2013

Maa...



Sach  Puchiye to
Aadmi ki Itni badi Ye zindagi 
Sirf Do Aurton ki Muhtaaj Hoti hai
Ek woh 
Jo use Apni Jaan bhi De kar 
Is Haseen Duniya main le aati hai
Parwaan Chadati hai
Aur Doosri Woh Jo
Dauraan-e-safar, ek Wafa daar Dost ki trah
Kabhi Dukh main,  Sukh main
Kabhi Mehfil Main,  Tanhyaee main
Har Trah Saath Nibhati hai

TUM Jaa Chuki Ho
WOH Jaa Rahi hain
DUA Karna!!

(C) Shahid Parvez Sayed, April 26, 2013, 7pm

Sunday, April 21, 2013

Be-Ghar...


Tum ne Us Ghar ki Deewaron par
Meri Tasveeren Laga Rakhi thin
Tum Kahaa Karti thin ke
Jab Main Ghar Nahi Hota to 
Woh Deewaren Bolti hain
IS Ghar main bhi Tasveeren lagi hain

US ghar main Roshni bhi
Tumhari Pasand ke Rang Audh ke Aati
IS ghar main bhi Wohi Rang hain Us ke

US ghar ke Lamp, Wind Chimes, Sofa set, aur Bartan
Sab Tumhari Pasand ke hote the 
Is ghar main bhi wohi  hian

Ye Ghar Bilkul Waisa hi Hai 
Jaisa Tum Rakhaa Karti thin
Farak Bas Itna ke

IS Ghar Main Bilkul Be-Ghar Hoon Main!

(C) Shahid Parvez Sayed, April 15, 2013

Thursday, April 18, 2013

Ghar...

Woh Chota sa Ghar Bhaut Accha tha...
Ek Bade Se Ghar main Rehte Hue 
Ek Din Tum ne Yu hi Kahaa tha
"Bedroom , Hall, Gallery aur kitchen
Har Jagah se Main Tumhen 
Dekh to Sakti thi
Is bade Ghar Main Tum Dikhayee Nahi Dete
Mujhe Accha nahi Lagtaa
Woh Chota Sa Ghar Bachut Accha tha!"

Suno!
Ye to Batao...
In Dino Tum Kis Trah Jeeti Ho?
aur Kiya Wakai Ab tum Jeeti Ho?

(c) Shahid Parvez Sayed, April 15, 2013

Friday, April 12, 2013

Gangaa meri....


Aye Gangaa Meri...
Hazaron Saal se Isi  Muqaam se Beh kar 
Jaane Kaise Kaise Manzar Dekhen Honge
Sukh ke, Dukh ke aur bhi bahut
Aur phir
Kisi Sugadh Aurat ki Trah Tum ne
Un Sab ko Apne Seene main Samo Liya hoga
Jaise ke Kuch hua hi Na tha...

To Phir us Manzar ko Bahaa kiyoon na Le gayin?
Jab Ek Joda Kinaare Tumhare Utra tha
Jab Mehndi ke Rang Taaza the
Aur Armaano Ka Dera Tha
Jab Kehkahye aur Sargoshiyon ne
Kitne Khwabon ko Ghera tha
Jab Kisi ki Muskurahat ne
Noor Thumhare Chere pe bhi to Bikheraa tha!

Itne Baras baad Woh Manzar 
Aaj bhi wahin Pe Rehta  hai
Main Khud Use Dekh Kar Ke lauta hoon

Meri Mano to, Aye Gangaa Meri
Jis Trah Waqt Ke Bahao ne 
Us Jode ko Alag Alag Kinaro Pe Utaara hai
Tum bhi Us Manzar ko bahaa  Le Jao 
Aur Is Raaz ko aur Raazon Ki Trah
Apne Seene main Samaa Jaane do

Ab Is Manzar ko Beh  bhi Jaane do!!

(C)Shahid Parvez Sayed, April 13th, 2013

Tuesday, April 09, 2013

Rishwat...




Waqt Marham hai, JHo Guzar kar Aksar
Har Zakham, Har Baat bhiula detaa hai
Par Tumhari yaadon ko is ne
Yu zinda Rakha hai jaise
Kal hi ki baat ho

Jaise ke Tum Nahaa kar nikogi abhi
Aur Paa kar muntazir mujhe
Junjhlaogi, phir kuch soch kar sharmaogi

Ya Phir
Is Saneechar bhi mujhe kaam par jana hoga
Aur Der raat lautne pe mere
Khwaabeeda un aankhon se darwaza khologi, Bataogi
"Intezaar karte hue abhi aankh lagi thi"

Aur ya phir
Aakhri Baar mujhe Rukhsat karne ke liye
Ghar ki Gallery main aa kar Tum
Bade sukoon se Hath Yun Hilaogi, Muskuraogi
Jaise ke Ye Mulaqat aakhri na thi

Waqt ka Kaam hi hai 
ke woh Guzar kar Aksar
Saare Tasveeren, Sab Nishaan mitaa deta hai

Lekin is baar
Aisa kuch nahi kiya Waqt ne
Hamen ab Tak sang Rakha hai Waqt ne

Kahin Tum ne Is ko Rishwat to na di thi?


(C) Shahid Parvez Sayed, April 5th, 2013

Saturday, March 09, 2013

Woh Muqaam....


Jis Muqaam Par
Sadiyon se safar kar rahe Sailaani
Thakan se Choor, aur Tanhaiyon se haar kar
Dhoop ki Shiddat
Raaston ki Wehshton, Zulmaton se Tang Aa kar
Pichli Ruton ki Wafayen, Shaadmaniyan aur
Apne Watan ki Be-Baak Mahobaten Yaad Karte hain
Phir Wahin Laut Jaate hain...

Usi Muqaam se
Bas Usi Muqaam se....
Mera Aaghaz-e-Safar Hota hai...

(C) Shahid Parvez Sayed, March 8th, 2013

Saturday, March 02, 2013

Woh Khwaab...


Tum ne Kinaraa Dhoondh liya hai
Kitna Accha Kaam kiya hai!!

Par Ye to batao...
Woh jo Hum se Mila karte the
Kabhi Budhe Bargad ke Neeche
Us ghane jungle ke peeche
Kabhi phoolon ki Kalyari main
Kabhi Khandar main, Kisi Baadi main
Kabhi kisi Mahal Shaha-Jahani main
Haan Usi Behti Jamunaa ke Peeche
Kabhi aati hui Baharon main
Kabhi Baarish ki Phuwaaron main
Kabhi Barfeeli un Raaton main
Kisi Lazy Sunday ki Shamon main
Acche Khaase Naam the Un ke
Chere Bhole Bhaale the
wohi jo Meri Aankhen aur
Tumhari Shoukhi Pehan kar
Aksar Hum se milte the

Kahan hain ab woh Kis haal main hain?
Ab Kis ki Panah main There hain?
Ab Kaun Unhen Behlata hai?
Kaun Apni Neenden De kar
Unhen Saari Raat Sulata hai?
Mil Jayen Agar woh Tum se kahin to
Mera Pata hi De dena
Aur Kehna..
Mujh se milen
Main AAJ bhi Waade Nibhataa hoon...

(c) Shahid Parvez Sayed, March 1st, 2012

Sunday, February 17, 2013

Tumhaare baad...

Tumhare baad
Meri Galtiyon Par Khilkhila kar Hansne Aur
Un ka Mazaak udane wala bhi koi nahi Raha
Bahut Lihaaz karte hain sab yahan

Bas Ye Ittefaaq hai ke 
Tumhare baad
Meri Galtiyan bhi badh gayi hain

(C)Shahid Parvez Sayed


Wednesday, February 13, 2013

Aitraaf - e - Shikast

Chalo agar main ye Aitraaf kar bhi loon ke
Tum se Bichad kar Jeene Ki koshish
Darasal Marne Ki Koshish thi
To Phir Kiya Tum
Labon pe Fatehana muskurahat aur
Aankhon main Shoukh Rang liye
Mere Saamne Aan Khadi Ho jaogi?
Aur Kahogi ye....
"Mujhe Maloom tha, Yehi Hoga!!"
Aur Phir kiya Hum
Apne Ghar ko Lautenge?
Ya Apne Apne Ghar Jayenge?
Bas Ye Batlaa do!!

(C) Shahid Parvez Sayed, Valentine's Eve @ 2:15 am

Sunday, February 10, 2013

Wafayen aur Deewar-e-Masjid


Chilchilati Dhoop aur Us Be panah Juhlasti Duphari main
Kisi Masjid ki Deewar ke Saye main Ruk kar Tum
Ibadat Kar laut Rahe Sendkdo Namaziyon main
Sirf Ek Chera Talash Kiya Karti thin Un Dino
Paa Kar Us Shaks ko Tumhare Jism aur Rooh
Yun Khil Uththe the
Jaise ke Sulagti Koi Zameen Jhoom Uthe
Baarish ki Pehli Phuraon par
Baqya Namaziyon ki Ibadat Kabool Hui thi Ya nahi
Ye Un ka Khuda Jaane
Tumhari Wafayen ...
Muskurahten aur Aankhon ke woh Mashooq Rang
Zaroor Qabol hue honge us Din Bargah -e-Ilahi main
Dekh lo...
Is Nazm ka Ek Ek Lafz
Usi Haqeeqat ka Shahid Hai


(C) Shahid Parvez Sayed, Feb 9th, 2013, Churchagate Station

Tuesday, February 05, 2013

Pehli Snow...


Tab Mausam ki Pehli Baraf Giri thi
So kar uthe the
Hairaan the hum tum
Ek hi Raat main nayi Duniya kaise Takhleeq ho gayi?
Daro -Deewar, Raaste, Darakht sabhi ne
Safed Chadat kaise pehan li hai?
Aur Jab tum Kala Dupatta udhe Hairat se ye sab dekh rahi thin
Main ne Tumhare un Hairat aur Masarat ke Rangon ki
Kitni Tasveeren Utaari thin

Suna hai...
Aaj Barafbaari hogi wahan pe
Par Is baar Aasmano se Baraf Nahi
Zimmedari Barsegi...
Is baar Koi Tumhari Tasveer na khencehgaa
Tum Doodh, Bread, Paani aur Firewood le aayi hogi
Pata nahi ye Mausam kab Tak Yu hi Kharab rahe?

Baraf to Bas Us saal giri thi
Jis baras Dono Sath the Hum tum
Jeene Ka Asbab the Hum Tum
Kisi Shair ka Khwaab the Hum tum
Baraf to bas us saal giri thi...

(C) Shahid Parvez  Sayed,  Feb 5th @ 1:05am

Thursday, January 17, 2013

Gar tum....


Gar tum apni Yaaden bhi
Apne Sath hi Le jaatin
Kuch din to koi Jee Letaa
Ye Chaak Girebaan Sii Leta
Kuch Din koi Jee letaa!!

(C) Shahid Parvez Sayed