Wednesday, August 28, 2013

Do Qabren..




Koi Din
Ajnabi Desh Main Chand Log
Kisi Weekend Ko
Tumhen Ek Khubsurat Qabrastan ki 
Thandi Zameen main
Mehakte Hue Casket main Lita Kar
Ek Qabar ke Hawale Har Denge

Main Yahin Kisi Poorane Qabrastan ki
Khamoshi ka Hissa
Ujlat aur Be Hurmati se Bana Diya Jaoonga
Yaani Marne ke Baad bhi Bum
Door, Bahut Door Dafan Honge..

Ye Batao, 
Ab Kis Ummed Pe Marna Hoga?

(C) Shahid Parvez Sayed, August 28th, 2013, 5:10 PM



Monday, August 26, 2013

Ghar...

Tum 
Woh ke Jisko Ek Ghar Ki 
Hamesha Arzoo Thi
Shahr Ki Tnahaiyon Main
Ek Chota, Apna Sa Ghar
Jahan Hukum Tumhara Chale
Jis Ke Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas EkTum Hi Ho

Main, 
Ek Shair e Sarkash, Baghi, Awara Mijaaz
Jise Duniya Ki 
Farsuda Riwayat Se Nafrat Rahi Hamesha
Main Bhala Tumhe Koi Ghar Kiyoon Kar Deta?

Mera Ye Manna Hai
Mera Ghar, Mera Mahollah, Mera Watan, Meri Jaat
Woh Ped Hain ke Jin Main
Tassub aur Nafrat Ke Phal hain Panapte 

Mujhe To Is Duniya se 
Kuch Is Trah Guzar tha Jana
Ke Mano Main tha Hi Nahi
Ke Jaise Kuch Hua Hi Nahi
Main Tumhen Ghar Kiyoon Kar Deta?

Par
Itne Baras Baad Ye Ehsaas Ab Hua
Ke Ghar To Main Ne Tum Ko
Un Dino Hi Tha diya
Woh Ghar Dekho Jis Main
 Tumhara Hukum Hai Chalta
Jiski Siyah  aur Safed Ki 
Maalik Bas Ek Tum Hi Ho
Woh Chota, Apna Sa Ghar
Mera Dil Hai 
Aye Meri Jaane Jahan

Ho Sake to Ek Baar Is main
Basne Phir Chali Aana.....

(C) Shahid Parvez Sayed, Auguist 26th, 2013, 10:15 am



Wednesday, August 14, 2013

Sayed - Zaadi...


Aur Jab Shahr Ke Akalmandon ne
Meri Tasveer Pe Aitraaz Kiya
Chupa Di thi Tum Ne Woh Tasveer Meri
Ek Hukum Aur Aayaa Phir
Ke Ab Naam Bhi Badalna Hoga
Tum Is Baat Pe Biphar Gayin 

Kiya Zaroori Hai Ye?
Woh Naam Mujhe Pasand Hai Bahut
Main Naam Nahi Tabdeel Karoongi

Aaj Shahr Ke Akalmand Mutmain Hain
Ke Jo Kiya Accha Kiya
Sirf Mujhe Pata Hai aur Tumhen Bhi
Ke US Shhahr Main 
Ab Ek Naye Label Ke Sath
Ek Sayed - Zaadi Rehti Hai


Thursday, August 08, 2013

Chaand Ka Peecha....


Yaad hai Un Dino
Tumhari Zulf ki Trah
Bal Khaahti, Lehrati, Shaffaf Sadak Par Hum
Chaand Ka Peecha Karte The!

Sadak Ke Mudte Hi woh bhi
Kabhi Tumhari Taraf aur 
Kabhi Meri Taraf Chala aataa tha

Phir Ek Raat
Ek Teele Par Motor Rok Kar Main ne
Tum se Kaha tha 
"Woh Raha Tumhara Chaand!"

Aur Tum ne 
Apni Peshani Mere Seene Se laga kar
"Mera Chaand Yahan Hai" 
Confirm kiya tha...

Bagair Chaand Dekhe Eid Kaisi Hoti Hai?
Bas Ye Batla do...

(C) Shahid Parvez Sayed, 9-8-13 @2:30am