Saturday, July 20, 2013

Labels.....




Mukhtasar Si Judayi par
Kahin Jaate Waqt Tum
Hamesha Kitchen Ke Lawzmaat Par
Pehchan ke Liye Label Laga diya Karti thin
Shakr, Namak, Aata, Daal...
Aur Phir Ghar se Airport Tak 
Hidayeten Detin ke
 Kaun Si Cheez Kahan Rakhi hai
Aur Ye Shikyat Bhi Ke
Itna La-Parwah kiyoon Ho Gayaa Hoon main?

Suno, Aaj Suabh Se Woh Dabba Nahi Mil Raha hai
Jis Par Tum ne Kahin Jaate Waqt 
Ye Label Lagaya tha
Zindagi!

Is Martaba to Ye Judaii Khatam Na Hone Wali
Kuch Yaad Hai
 Kahan Rakha tha Tum ne Use?
Aaj Subah se...

(C) Shahid Parvez Sayed, 20-7-2013



Tuesday, July 16, 2013

Dimaag...


Khwabon Main Hamen Ab Door Door Rakhta Hai
Kambakht Dimaag Ne Bhi Tumhara Saath Chod Diya

(C) Shahid Parvez Sayed, July 15th, 2013

Saturday, July 13, 2013

Andhere ka safar...


Tanhaa Zaroor hoon, par Himmat Nahi Haari Hai
Woh Aur Baat hai ke Andhere ka Safar Jaari hai..

(C) Shahid Parvez Sayed

Friday, July 12, 2013

Aaj....



Mausam Vibagh ka Kehna hai ke
Aaj
Poora Din Yu hi Barsat hogi
Gulabi Sardi aur Badh Jayegi

Aur Saamne wali building ke ek ghonsle main 
Do Kabootar ek doosre main Ghus jaynge
Aankhen Band kar lenge
Aur Girti Boundon ki Jaltrang sunenge
Umoman Din ke Auqaat main 
Is Trah ki Harkat pe Naraz Hone wali Kabootri
Aaj Mazhamat na karegi...

Aaj Poora Din Barsat Yu hi Hogi..
Aaj Poora Din Tum Yaad Bahut aaogi

Mausam Vibagh bhi Yehi Kehta hai
Aaj....

(C) Shahid Parvez Sayed, July 12th 2013