Friday, December 28, 2012

Hamara Shahr...


Jab shahr ki be-Chainyan, bad-Gumaniyan
kisi Khaarish zada kutton ki trah
Mujhe  dauda kar jab
Kisi station ke platform tak khaded aati hain
Tab Main khud ko Tanhaa bahut hi pata hoon
Chun kar kirchiyan apne khwabon ki
Larazta hoon, saham saham jataa hoon
Trains aati hain, Guzar jaaati hain
Sochta hoon,
Kahan jaoon, pahunchon kidhar ko main?
Koi khidki , Na darwaza koi intezar main hai
Na koi Har aahat Pe Meri  kaan dhare
TV ke saamne hai, magar dekhtaa nahi
Aur  na hi koi mere poorani Tasveeren
Dekh raha hai, Mujhe soch raha hai


Ye shahr HAMARA nahi jahan  main rehtaa hoon
Isi liye to yu Tanhiayyan main Sehtaa hoon.

(Bad-Gumaniyan = Misunderstands)
(C) Shahid Parvez Sayed

1 comment:

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

"Ye shahr HAMARA nahi jahan main rehtaa hoon "

beautiful..