Sunday, November 04, 2007

Tab Yaad Tumhari Aati hai....




Raat Dhale Jab Tanhayee
Apne Ghar ko Jaati Hai
Jab Door Kahin Koi Shenayi
Wohi Prem Geet Dhoraati hai
Jab Neend Meri In aankhon se
Kosoon Door Chali Jati hai
Tab Yaad Tumhari Aati Hai..
Tab Yaad Tumhari Aati Hai..

Jab Suraj Ki Kiran mere Takiye se
Subah Jab Sar Apna Uthati hai
Aur Koi Ghadi Mere Kamre ki
Wakt Poore Saat Bajati Hai
Jab Chai Ki Piyali Chan Se Gir
Ek Lamhe Main Bikhar Jati Hai
Jab Car Ki Chabi Itne Sawere
Jaane Kahan Chali Jati Hai.?
Tab Yaad Tumhari Aati Hai...

Jab Dheere Dheere Chalti Hawa
Ek Lamhe ko Ruk Jaati Hai
Jab Bel Lata kisi Ped se Lipat kar
Jhuk Jaati Hai, Simat Jati Hai
Jab Bhanwara Ban Main Aata Hai
Aur phir Koi Kali Muskaati Hai
Tab Yaad Tumhari Aati Hai
Tab Yaad Tumhari Aati Hai

Jab Jaate Suraj Ki kirnen
Kayi Rangon Main Badal Jati Hain
Jab Panchiyon Ki Lambi Kataren
Door Gagan Ud Jati Hain
Jab Din Ki Thakan Meri Ruhon main
Lamha Lamha Ghul Jati Hai
Jab Main Apne "Makan" Aata Hoon
Aur Duniya "Ghar" Ko Jaati Hai
Tab Yaad Tumhari Aati Hai


Aise Alam Main Uff Ye Tanhayee
Jab Roop Tera Liye Chali Aati Hai
Wohi hansi, Woh Ithlana, Woh Itrana
Bas Pehron Raat Jagaati Hai...
Main Us ko Bhi Khoob Chataa Hoon
Woh Bhi to Mujhe Bahut Chaati Hai..

Tab Yaad Tumhari Aati Hai..
Tab Yaad Tumhari Aati Hai...

(C)Shahid Sayed, Nov. 4th, 2007@ 1900


(Pic Courtsey: nycaddict.com, myopera.com)

4 comments:

Anirudh 'Lallan' Choudhry said...

yaadein kuch baatein laaein hain ham batiyana par bhul gaye
sapne hain sare yaad abhi ham sona lekin ..bhul gaye

Ye manzilen !! said...

:)

Manoj said...

nice poem.... i have copied it to my blog (with due mention of ur blog and copyright)... If u find it objectionable, please tell me...will remove that :)

regards,
Manoj

Ye manzilen !! said...

Manoj: Just mail me a check for a $1000 dollars - that's all!
:)
Its cool. Infact I feel flattered that someone found my voice worth "repeating". That tells me taht I need to do a better job writting poems....Thanks.