Friday, April 26, 2013

Maa...



Sach  Puchiye to
Aadmi ki Itni badi Ye zindagi 
Sirf Do Aurton ki Muhtaaj Hoti hai
Ek woh 
Jo use Apni Jaan bhi De kar 
Is Haseen Duniya main le aati hai
Parwaan Chadati hai
Aur Doosri Woh Jo
Dauraan-e-safar, ek Wafa daar Dost ki trah
Kabhi Dukh main,  Sukh main
Kabhi Mehfil Main,  Tanhyaee main
Har Trah Saath Nibhati hai

TUM Jaa Chuki Ho
WOH Jaa Rahi hain
DUA Karna!!

(C) Shahid Parvez Sayed, April 26, 2013, 7pm

Sunday, April 21, 2013

Be-Ghar...


Tum ne Us Ghar ki Deewaron par
Meri Tasveeren Laga Rakhi thin
Tum Kahaa Karti thin ke
Jab Main Ghar Nahi Hota to 
Woh Deewaren Bolti hain
IS Ghar main bhi Tasveeren lagi hain

US ghar main Roshni bhi
Tumhari Pasand ke Rang Audh ke Aati
IS ghar main bhi Wohi Rang hain Us ke

US ghar ke Lamp, Wind Chimes, Sofa set, aur Bartan
Sab Tumhari Pasand ke hote the 
Is ghar main bhi wohi  hian

Ye Ghar Bilkul Waisa hi Hai 
Jaisa Tum Rakhaa Karti thin
Farak Bas Itna ke

IS Ghar Main Bilkul Be-Ghar Hoon Main!

(C) Shahid Parvez Sayed, April 15, 2013

Thursday, April 18, 2013

Ghar...

Woh Chota sa Ghar Bhaut Accha tha...
Ek Bade Se Ghar main Rehte Hue 
Ek Din Tum ne Yu hi Kahaa tha
"Bedroom , Hall, Gallery aur kitchen
Har Jagah se Main Tumhen 
Dekh to Sakti thi
Is bade Ghar Main Tum Dikhayee Nahi Dete
Mujhe Accha nahi Lagtaa
Woh Chota Sa Ghar Bachut Accha tha!"

Suno!
Ye to Batao...
In Dino Tum Kis Trah Jeeti Ho?
aur Kiya Wakai Ab tum Jeeti Ho?

(c) Shahid Parvez Sayed, April 15, 2013

Friday, April 12, 2013

Gangaa meri....


Aye Gangaa Meri...
Hazaron Saal se Isi  Muqaam se Beh kar 
Jaane Kaise Kaise Manzar Dekhen Honge
Sukh ke, Dukh ke aur bhi bahut
Aur phir
Kisi Sugadh Aurat ki Trah Tum ne
Un Sab ko Apne Seene main Samo Liya hoga
Jaise ke Kuch hua hi Na tha...

To Phir us Manzar ko Bahaa kiyoon na Le gayin?
Jab Ek Joda Kinaare Tumhare Utra tha
Jab Mehndi ke Rang Taaza the
Aur Armaano Ka Dera Tha
Jab Kehkahye aur Sargoshiyon ne
Kitne Khwabon ko Ghera tha
Jab Kisi ki Muskurahat ne
Noor Thumhare Chere pe bhi to Bikheraa tha!

Itne Baras baad Woh Manzar 
Aaj bhi wahin Pe Rehta  hai
Main Khud Use Dekh Kar Ke lauta hoon

Meri Mano to, Aye Gangaa Meri
Jis Trah Waqt Ke Bahao ne 
Us Jode ko Alag Alag Kinaro Pe Utaara hai
Tum bhi Us Manzar ko bahaa  Le Jao 
Aur Is Raaz ko aur Raazon Ki Trah
Apne Seene main Samaa Jaane do

Ab Is Manzar ko Beh  bhi Jaane do!!

(C)Shahid Parvez Sayed, April 13th, 2013

Tuesday, April 09, 2013

Rishwat...




Waqt Marham hai, JHo Guzar kar Aksar
Har Zakham, Har Baat bhiula detaa hai
Par Tumhari yaadon ko is ne
Yu zinda Rakha hai jaise
Kal hi ki baat ho

Jaise ke Tum Nahaa kar nikogi abhi
Aur Paa kar muntazir mujhe
Junjhlaogi, phir kuch soch kar sharmaogi

Ya Phir
Is Saneechar bhi mujhe kaam par jana hoga
Aur Der raat lautne pe mere
Khwaabeeda un aankhon se darwaza khologi, Bataogi
"Intezaar karte hue abhi aankh lagi thi"

Aur ya phir
Aakhri Baar mujhe Rukhsat karne ke liye
Ghar ki Gallery main aa kar Tum
Bade sukoon se Hath Yun Hilaogi, Muskuraogi
Jaise ke Ye Mulaqat aakhri na thi

Waqt ka Kaam hi hai 
ke woh Guzar kar Aksar
Saare Tasveeren, Sab Nishaan mitaa deta hai

Lekin is baar
Aisa kuch nahi kiya Waqt ne
Hamen ab Tak sang Rakha hai Waqt ne

Kahin Tum ne Is ko Rishwat to na di thi?


(C) Shahid Parvez Sayed, April 5th, 2013