Saturday, March 09, 2013

Woh Muqaam....


Jis Muqaam Par
Sadiyon se safar kar rahe Sailaani
Thakan se Choor, aur Tanhaiyon se haar kar
Dhoop ki Shiddat
Raaston ki Wehshton, Zulmaton se Tang Aa kar
Pichli Ruton ki Wafayen, Shaadmaniyan aur
Apne Watan ki Be-Baak Mahobaten Yaad Karte hain
Phir Wahin Laut Jaate hain...

Usi Muqaam se
Bas Usi Muqaam se....
Mera Aaghaz-e-Safar Hota hai...

(C) Shahid Parvez Sayed, March 8th, 2013

Saturday, March 02, 2013

Woh Khwaab...


Tum ne Kinaraa Dhoondh liya hai
Kitna Accha Kaam kiya hai!!

Par Ye to batao...
Woh jo Hum se Mila karte the
Kabhi Budhe Bargad ke Neeche
Us ghane jungle ke peeche
Kabhi phoolon ki Kalyari main
Kabhi Khandar main, Kisi Baadi main
Kabhi kisi Mahal Shaha-Jahani main
Haan Usi Behti Jamunaa ke Peeche
Kabhi aati hui Baharon main
Kabhi Baarish ki Phuwaaron main
Kabhi Barfeeli un Raaton main
Kisi Lazy Sunday ki Shamon main
Acche Khaase Naam the Un ke
Chere Bhole Bhaale the
wohi jo Meri Aankhen aur
Tumhari Shoukhi Pehan kar
Aksar Hum se milte the

Kahan hain ab woh Kis haal main hain?
Ab Kis ki Panah main There hain?
Ab Kaun Unhen Behlata hai?
Kaun Apni Neenden De kar
Unhen Saari Raat Sulata hai?
Mil Jayen Agar woh Tum se kahin to
Mera Pata hi De dena
Aur Kehna..
Mujh se milen
Main AAJ bhi Waade Nibhataa hoon...

(c) Shahid Parvez Sayed, March 1st, 2012