Sunday, February 17, 2013

Tumhaare baad...

Tumhare baad
Meri Galtiyon Par Khilkhila kar Hansne Aur
Un ka Mazaak udane wala bhi koi nahi Raha
Bahut Lihaaz karte hain sab yahan

Bas Ye Ittefaaq hai ke 
Tumhare baad
Meri Galtiyan bhi badh gayi hain

(C)Shahid Parvez Sayed


Wednesday, February 13, 2013

Aitraaf - e - Shikast

Chalo agar main ye Aitraaf kar bhi loon ke
Tum se Bichad kar Jeene Ki koshish
Darasal Marne Ki Koshish thi
To Phir Kiya Tum
Labon pe Fatehana muskurahat aur
Aankhon main Shoukh Rang liye
Mere Saamne Aan Khadi Ho jaogi?
Aur Kahogi ye....
"Mujhe Maloom tha, Yehi Hoga!!"
Aur Phir kiya Hum
Apne Ghar ko Lautenge?
Ya Apne Apne Ghar Jayenge?
Bas Ye Batlaa do!!

(C) Shahid Parvez Sayed, Valentine's Eve @ 2:15 am

Sunday, February 10, 2013

Wafayen aur Deewar-e-Masjid


Chilchilati Dhoop aur Us Be panah Juhlasti Duphari main
Kisi Masjid ki Deewar ke Saye main Ruk kar Tum
Ibadat Kar laut Rahe Sendkdo Namaziyon main
Sirf Ek Chera Talash Kiya Karti thin Un Dino
Paa Kar Us Shaks ko Tumhare Jism aur Rooh
Yun Khil Uththe the
Jaise ke Sulagti Koi Zameen Jhoom Uthe
Baarish ki Pehli Phuraon par
Baqya Namaziyon ki Ibadat Kabool Hui thi Ya nahi
Ye Un ka Khuda Jaane
Tumhari Wafayen ...
Muskurahten aur Aankhon ke woh Mashooq Rang
Zaroor Qabol hue honge us Din Bargah -e-Ilahi main
Dekh lo...
Is Nazm ka Ek Ek Lafz
Usi Haqeeqat ka Shahid Hai


(C) Shahid Parvez Sayed, Feb 9th, 2013, Churchagate Station

Tuesday, February 05, 2013

Pehli Snow...


Tab Mausam ki Pehli Baraf Giri thi
So kar uthe the
Hairaan the hum tum
Ek hi Raat main nayi Duniya kaise Takhleeq ho gayi?
Daro -Deewar, Raaste, Darakht sabhi ne
Safed Chadat kaise pehan li hai?
Aur Jab tum Kala Dupatta udhe Hairat se ye sab dekh rahi thin
Main ne Tumhare un Hairat aur Masarat ke Rangon ki
Kitni Tasveeren Utaari thin

Suna hai...
Aaj Barafbaari hogi wahan pe
Par Is baar Aasmano se Baraf Nahi
Zimmedari Barsegi...
Is baar Koi Tumhari Tasveer na khencehgaa
Tum Doodh, Bread, Paani aur Firewood le aayi hogi
Pata nahi ye Mausam kab Tak Yu hi Kharab rahe?

Baraf to Bas Us saal giri thi
Jis baras Dono Sath the Hum tum
Jeene Ka Asbab the Hum Tum
Kisi Shair ka Khwaab the Hum tum
Baraf to bas us saal giri thi...

(C) Shahid Parvez  Sayed,  Feb 5th @ 1:05am