Wednesday, April 25, 2012

Shukriya...


Tanha Ye Safar
Zulmaat ka ye Qarb
Itna Rayegan bhi nahi
Yahan bhi
Hamesha ki Trah
Tum jo Sath ho
Shukriya...

(C) Shahid Parvez Sayed, 26-4-12 @ 12:30 am

Friday, April 20, 2012

Tanhaa Shaam aur Dhalte Saaye...


Tanhaa Shaam Aur Ye Dhalte Saaye
Kiya Ye Bhi Zindagi Guzaar Aaye ?

Har Mausam Hum se Rehta hai Khafa
Woh Aayen to Phir Ab Bahaar Aaye

Kayee Log Aaye, Gaye Zindagi main
Chaha Jise , woh bhi Ek Baar Aaye

Ye Na Kehnaa ke Hamen Awaaz na Di
Har Gali, Har Mod Tumhen Pukar Aaye

(C) Shahid Parvez Sayed, 20-4-12 @ 1 am

Thursday, April 12, 2012

Ration Card...



Ghar ke Ration Card par Tumhara Naam dekha
Use bhi Doosre Un Namo ki Trah
 Kaat diya gya tha
Jo Ab Sath Nahi Rahe..
Yani, Tumhare Hisse Ka Anaaj bhi ab
Mujh Tak Nahi Aata

Ek Zamana woh bhi tha jab
Tum Kacchi Pakki Rotiyan Bana kar
Jale Hue Hisse Khud Khaa kar
Mujhe Behla Liya karti thin
Aaj Tumhare Naam ka Rizq bhi
Tumhari Yaadon ki trah
Mujh pe Haraam hai

Go Waqt ne Hamare Tallouk Rok diye 
Par ye bhi Sach hai
Un Kacche Pakke Luqmon se
 Jo Khoon Bana tha
Jism main Mere wohi Rawan hai
Dil ki Sharyano main Raqs hai Jaari 
Zahan ke Gheriyon se Wohi Ayaan hai

Jis din Main Tumhare Hathon ki
 Adh Jali Rotiyon ka Zaiqa Bhool Jaoonga
Us din Ye Dil Ruk Jayega
  Daudta Khoon Tham Jayega...
Tab Main bhi Wahin Kahin so jaoongaa!

(c) Shahid Parvez Sayed, 11-4-12, Mumbai

Wednesday, April 04, 2012

Har Manzar Tumhen Talash karta hai...


Doobta suraj aur ghar laut-te parindon ki qatar
Sard Hawa, Khamoshi, Aam ke woh Baug
Imli ke ped main uljha hua sa chaand
Jungle ke raston main kuch shoukh rang ke phool
Barsaat ki Phuwaren aur Bheegne ki woh zidd

Har Manzar ab jo milta hai
Woh tumhen talash karta hai
Aur ye swaal kartaa hai
Ke Ab tum saath kiyoon nahi aati?
Kiya kar rahi ho? Kahan Masroof ho tum?
Ya agar main Tanha ho chuka hoon to phir 
Har Martaba kis talash yahan aataa hoon?
Aur Kiya soch laut jataa hoon?


(C) Shahid  Parvez Sayed, April 5th, 2012