Sunday, October 23, 2011

Tumhari Aakhri Araam Gaah...



Jab kisi ne meri Tanhayee ka sabab pucha
Tum se is Darjaa Judayee ka sabab pucha
Ye bhi Pucha ke tum kaun thin? Kaisi thin?
Kahan se Aayin thin?
Kiyoon chale Jana tha tumhen?
Kiyoon Tum Ruk nahi payin thin?

Main ne ye Keh diya, Sach keh diya
Ke Arsa hua, Mar Chuki ho Tum
Bandhan woh Saare Tod Chuki ho Tum
Apne hi Hathon Tumhen Dafan kiya hai main ne
Khud Pe Ek aur Sitam kiya hai main ne

Dafan kar di hain woh Muskurahaten
Jinhen dekh Dil jhoom jhoom ho uthta tha!
Woh Adaayen bhi 
Jo Sirf Tumhen hi aati thin
Aur Woh Gussa 
Jis main Mahobbat ki Tapish hoti thi
Woh Aankhen 
Jo mere Naam Pe Muskati thin

Ab Mere Dil ke Niha khano Main Madfoon ho Tum
Kaun kehta hai Meri Jaan Mujh se Door ho Tum?
Ab Ye Dil mera - 
Ek Qabar hai
Tumhari Aakhri Aaram Gaah...

(C) Shahid Parvez Sayed

Sunday, October 02, 2011

Ye batla do...

Kehte hain ke
Waqt ke sath sab badal jate hain
Rishte, Naate, Chere, Naam

Mahobbat ke woh lamhe bhi
Waqt ke aage sar jhuka kar
Poorane jazbon main
Naye maani talash karte hain

Aur Suraj ke gird ghoomne wali dharti
Ek naya mahwar talash kar
Phir se usi tezi se ghumne lagti hai
jaise ke kuch hua hi na ho!

Yehi zaroori hai shaid
Zindagi ki irtiqa ke liye
Badalna Laazim hai
Naye Rishton se wafa ke liye


To phir, ..
Halke dhaani, Aasmani rang
Jo Waqte-Rukhsat main
Tumhare Dupatte pe chod aaya tha
Woh kiyoon nahi badle?
Ye batla do

Bas ye batla do...