Saturday, March 26, 2011

Yaaden...


Jab Khuda kisi par khush hota hai to use Mahobbat ataa karta hai. Tumhen woh Atiya mila hai jo bahut kam insano ko milta hai. Aise halaat main jab ke tumhen is ki zara bhi tawakko na thi - tumhen mahobbat mili. Aur phir kaisi piyari ladki ki masoom mahobbat!

Halaat par tumhara kaboo nahi. Waqt ke sel ko tum nahi rok sakte - TUM DONO KO JUDA HONA THA!

Aise dil - aawez lamhe Lafaani hote hain aur mit jaate hain, lekin un ki yaaden reh jaati hain. Aur ye yaad zindagi ke udaas lamhon ko jagmagati hain-

Kaisa Qaif aawar khyaal hai ke kabhi tumhen ek bholi bhali mukhlis ladki ne chaha tha aur shaid ab bhi duniya ke kisi goshe main woh tumhen yaad kar leti hai - Kitni haseen yaad hai -

Sab kuch fanaa ho jataa hai - Yaaden Fana nahi hotin - Yaaden Zindagi banti hain...

(From Himakten by Shafiq-ur-Rehman)